SEARCH RESULTS
Showing search results for "آشنائی"
Ghazal MATCHES FOR "آشنائی"
Ghazal
kabhii ye haal ki dono.n me.n yak-dilii thii bahut
kabhii ye marhala jaise ki aashnaa.ii na thii
Naseer Turabi
Ghazal
taj diyaa thaa kal jin ko ham ne terii chaahat me.n
aaj un se majbuuran taaza aashnaa.ii kii
Ahmad Faraz
Ghazal
bahut sataate hai.n rishte jo TuuT jaate hai.n
KHudaa kisii ko bhii taufiiq-e-aashnaa.ii na de
Meraj Faizabadi
Ghazal
jo Than ga.ii hai to yaarii pe harf kyuu.n aa.e
hariif-e-jaa.n ko kabhii taan-e-aashnaa.ii na duu.n
Ahmad Faraz
Ghazal
is qadar aasaa.n na hogii har kisii se dostii
aashnaa.ii me.n tiraa me.aar ban jaa.e.nge ham
Ahmad Faraz
Ghazal
har aashnaa me.n kahaa.n KHuu-e-mehrmaana vo
ki bevafaa thaa magar dost thaa puraanaa vo
Ahmad Faraz
Ghazal
Faiz Ahmad Faiz
Ghazal
haqiiqat-aashnaa.ii asl me.n gum-karda raahii hai
uruus-e-aagahii parvurda-e-ib.haam hai saaqii
Sahir Ludhianvi
Ghazal
na to hosh se ta.aaruf na junuu.n se aashnaa.ii
ye kahaa.n pahu.nch ga.e ham tirii bazm se nikal ke
Khumar Barabankavi
Ghazal
milaa to aise ki sadiyo.n kii aashnaa.ii ho!
ta.aaruf us se bhii haalaa.nki Gaa.ebaana thaa
Akhtar Shumar
Ghazal
huu.n apne-aap se bhii ajnabii zamaane ke saath
ab itnii saKHt sazaa dil kii aashnaa.ii na de