SEARCH RESULTS
Showing search results for "باعث_ترک_ملاقات"
Ghazal MATCHES FOR "باعث_ترک_ملاقات"
Ghazal
baa.is-e-tark-e-mulaaqaat bataa.e ko.ii
baat kyaa ho ga.ii aaKHir ye jataa.e ko.ii
Ashok Sawhny Sahil
Ghazal
baa.is-e-tark-e-mulaaqaat bataa.o to sahii
chaahne vaalaa ko.ii ham saa dikhaa.o to sahii
Mirza Asman Jah Anjum
Ghazal
uzr aane me.n bhii hai aur bulaate bhii nahii.n
baa.is-e-tark-e-mulaaqaat bataate bhii nahii.n
Dagh Dehlvi
Ghazal
un kii taraf se tark-e-mulaaqaat ho ga.ii
ham jis se Dar rahe the vahii baat ho ga.ii
Qamar Jalalvi
Ghazal
aapas kii guftuguu me.n bhii kaTne lagii zabaa.n
ab dosto.n se tark-e-mulaaqaat chaahiye
Jafar Tahir
Ghazal
jaane kis mo.D pe de hijr kii sauGaat mujhe
par gavaaraa bhii nahii.n tark-e-mulaaqaat mujhe
Syed Amin Ashraf
Ghazal
be-vaj.h un se tark-e-mulaaqaat ho ga.ii
dushman jo chaahte the vahii baat ho ga.ii
Razi Badayuni
Ghazal
vaqt phir jaane kahaa.n us se milaa de tujh ko
is qadar tark-e-mulaaqaat kaa pindaar na rakh
Irfan Siddiqi
Ghazal
is KHabar se to mire dil ko KHushii honaa thii
kyo.n mujhe tark-e-mulaaqaat pe ronaa aayaa
Farman Ziyai Sirojni
Ghazal
haa.e phir chhe.D diyaa zikr aduu kaa tum ne
phir nikaalii na vahii tark-e-mulaaqaat kii baat
Hafeez Jaunpuri
Ghazal
kyaa kyaa hu.ii.n na un kii inaayaat chand roz
kii jin se ham ne tark-e-mulaaqaat chand roz
Mohsin Khan Mohsin
Ghazal
jab us se tark-e-mulaaqaat kaa iraada kiyaa
tab us ne daaman-e-dil ko zaraa kushaada kiyaa
Habab Hashmi
Ghazal
aap aur tark-e-mulaaqaat ye naa-mumkin hai
mu.nh se kahte hai.n magar baat ye naa-mumkin hai
Shabbar Jilani Qamri
Ghazal
kal us se ham ne tark-e-mulaaqaat kii to kyaa
phir us baGair kal na pa.Dii do gha.Dii ke baad
Shaikh Ibrahim Zauq
Ghazal
koshish-e-tark-e-mulaaqaat kaa afsos nahii.n
ab hame.n un kii kisii baat kaa afsos nahii.n
Khalish Barodvi
Ghazal
'kaif' ke bhuulne vaale ko KHabar ho ki use
sadma-e-tark-e-mulaaqaat ne jiine na diyaa
Kaif Bhopali
Ghazal
Arsh Sahbai
Ghazal
sabab-e-tark-e-mulaaqaat ko.ii hai to sahii
na sahii baat magar baat ko.ii hai to sahii