SEARCH RESULTS
Showing search results for "بحر_ظلمات_جنوں"
Ghazal MATCHES FOR "بحر_ظلمات_جنوں"
Ghazal
bahr-e-zulmaat-e-junuu.n me.n bhii nikal aa.ii hai raah
ishq ke haath me.n muusaa kaa asaa ho jaise
Syed Ehtisham Husain
Ghazal
bahr-e-zulmaat me.n Dhuu.nDe.nge jaziiro.n ke nishaa.n
aur sahraa.o.n me.n paanii kii taraf dekhe.nge
Muhib Wafa
Ghazal
Khalid Irfan
Ghazal
mai.n vo jugnuu huu.n jo taaro.n ke sahaare ke baGair
bahr-e-zulmaat miTaa.uu.ngii chalii jaa.uu.ngii
Meena Khan
Ghazal
bahr-e-zulmaat pasiina hai mirii aa.nkho.n kaa
zid na kar kaam ye aa.nsuu kaa bhii kar jaa.egaa
Anjum Fauqi Badayuni
Ghazal
har taraf KHauf ke ma.nDlaane lage hai.n baadal
bahr-e-zulmaat se yuu.n mauj-e-fazaa guu.njtii hai
Shams Faridee
Ghazal
har taraf phailte ba.Dhte hu.e ye ziist ke haath
bahr-e-zulmaat me.n ek kuuza-e-jaa.n hai ab ke
Razi Raziuddin
Ghazal
lashkar-e-vahm-o-gumaa.n dil ke badalte hii mile
bahr-e-zulmaat hasii.n phuul masalte hii mile
Betab Kaifi
Ghazal
bahr-e-zulmat me.n umiido.n kaa safiina hai ravaa.n
aur saahil hii pe armaano.n ke dam nikle.nge
Sabir Naseerabadi
Ghazal
bahr-e-zulmat par ziyaa hone ko hai 'KHaakii' tabhii
tiirgii mai.n nuur ke dhaare nazar aane lage
Khaki Hyderabadi
Ghazal
Shadan Indauri
Ghazal
junuu.n ke dasht me.n nikle.n vafaa kii had kar de.n
uThaa ke e.Diyaa.n apnii daraaz qad kar de.n
Rizvan Anjum
Ghazal
jo zindagii me.n kisii ke bhii kaam aa na sake
vo zindagii me.n kabhii zindagii ko paa na sake
Sabir Naseerabadi
Ghazal
ham ahl-e-qalam ahl-e-vafaa ahl-e-nazar hai.n
ham shahr me.n rahte hu.e bhii shahr-badar hai.n
Basit Azeem
Ghazal
shaaKH-e-buland-e-baam se ik din utar ke dekh
ambaar-e-barg-o-baar-e-KHizaa.n me.n bikhar ke dekh