SEARCH RESULTS
Showing search results for "بدست"
Ghazal MATCHES FOR "بدست"
Ghazal
nashtar-ba-dast shahr se chaaragarii kii lau
ai zaKHm-e-be-kasii tujhe bhar jaanaa chaahiye
Parveen Shakir
Ghazal
kise KHabar hai ki kaasa-ba-dast phirte hai.n
bahut se log saro.n par humaa ke hote hu.e
Ahmad Faraz
Ghazal
ilm ke dariyaa se nikle Gota-zan gauhar-ba-dast
vaa.e mahruumii KHazaf chain lab saahil huu.n mai.n
Allama Iqbal
Ghazal
saaGar-ba-dast baiThii rahii merii aarzuu
saaqii shafaq se jaam ko Takraa ke pii gayaa
Abdul Hamid Adam
Ghazal
ek zarb aur bhii ai zindagii-e-tesha-ba-dast
saa.ns lene kii sakat ab bhii mirii jaan me.n hai
Ahmad Faraz
Ghazal
Ahmad Faraz
Ghazal
Jigar Moradabadi
Ghazal
tum roz-o-shab jo dast-ba-dast-e-aduu phire
mai.n paa.emaal-e-gardish-e-ayyaam ho gayaa
Ismail Merathi
Ghazal
tamaam tesha-ba-dast hairat me.n gum hu.e hai.n
charaaG se kaaT dii havaa kii chaTaan mai.n ne
Jamal Ehsani
Ghazal
phir nigaar-e-chaman-e-vaadii-e-fardaa-e-bahaar
gul-ba-dast-e-mah-o-anjum ba-jabii.n aa.egaa
Salam Machhli shahri
Ghazal
ye baat bhii tai ho ga.ii dahshat-zadagaa.n me.n
jo sa.ng-ba-dast aa.egaa sardaar banegaa
Ali Mutahhar Ashar
Ghazal
Shakeel Badayuni
Ghazal
mish.al-ba-kaf kabhii to kabhii dil-ba-dast thaa
mai.n sail-e-tiirgii me.n tajallii-parast thaa
Ibrahim Ashk
Ghazal
mash.al-ba-dast ghuumte guzrii hai ek 'umr
ab kis ke intizaar me.n Thahraa hu.aa huu.n mai.n
Anwar Shuoor
Ghazal
mai-kade me.n nazar aate hai.n sabhii jaam-ba-dast
mujh ko aa.nkho.n se pilaa.o to ko.ii baat bane
Ashok Sawhny
Ghazal
paanii aur aag ek jagah chaahiye.n hame.n
jo shaaKH gul-ba-dast ho qaatil bhii chaahiye
Imran-ul-haq Chauhan
Ghazal
qatl karne ko mire aate hai.n vo teG-ba-dast
mai.n samajhtaa huu.n mire haq me.n masiihaa.ii hai