SEARCH RESULTS
Showing search results for "بسملؔ"
Ghazal MATCHES FOR "بسملؔ"
Ghazal
Bismil Azimabadi
Ghazal
kahte hai.n mohabbat faqat us haal ko 'bismil'
jis haal ko ham un se bhii aksar nahii.n kahte
Bismil Saeedi
Ghazal
mahfil me.n us ne Gair ko pahluu me.n dii jagah
guzrii jo dil pe kyaa kahe.n 'bismil' kisii se ham
Bismil Azimabadi
Ghazal
hamaaraa kaun Thikaana hai ham to 'bismil' hai.n
na apne aap ko rusvaa karo sataa ke mujhe
Bismil Azimabadi
Ghazal
na jaane kaun hai jis kii talaash me.n 'bismil'
har ek saa.ns miraa ab safar me.n rahtaa hai
Bismil Sabri
Ghazal
'bismil' ko kyaa hai chaadar-e-rahmat rasuul kii
saa.e me.n le hii legii gunahgaar dekh kar
Bismil Azimabadi
Ghazal
'bismil' tum aaj rote ho anjaam-e-ishq ko
ham kal samajh ga.e the kuchh aasaar dekh kar
Bismil Saeedi
Ghazal
ba-KHudaa bhuul ga.e apnii musiibat 'bismil'
yaad jab aa.e mohammad ke gharaane vaale
Bismil Azimabadi
Ghazal
me.araaj-e-takallum hai KHamoshii mirii 'bismil'
aatii hii nahii.n ko.ii mujhe tarz-e-fuGaa.n aur
Bismil Sabri
Ghazal
Bismil Saeedi
Ghazal
Gair kaahe ko sune.nge tiraa dukh.Daa 'bismil'
un ko fursat kahaa.n hai apnii Gazal gaane se
Bismil Azimabadi
Ghazal
kyaa kahuu.n anjuman-e-naaz kaa haal ai 'bismil'
sab ke charche rahe bas zikr tumhaaraa na rahaa
Bismil Allahabadi
Ghazal
badal ga.e sahar-o-shaam-e-zindagii 'bismil'
vo zindagii ke manaazir na vo fazaa.e.n rahii.n
Bismil Saeedi
Ghazal
ab miraa jazba-e-taufiiq hai aur mai.n 'bismil'
KHizr gum ho ga.e raste pe lagaa kar mujh ko