SEARCH RESULTS
Showing search results for "بلکہ"
Ghazal MATCHES FOR "بلکہ"
Ghazal
ham nahii.n vo jo kare.n KHuun kaa da.avaa tujh par
balki puuchhegaa KHudaa bhii to mukar jaa.e.nge
Shaikh Ibrahim Zauq
Ghazal
gul phe.nke hai auro.n kii taraf balki samar bhii
ai KHaana-bar-andaaz-e-chaman kuchh to idhar bhii
Mohammad Rafi Sauda
Ghazal
mere uzr-e-jurm par mutlaq na kiije iltifaat
balki pahle se bhii ba.Dh kar kaj-adaa ho jaa.iye
Hasrat Mohani
Ghazal
ek aisii bhii tajallii aaj mai-KHaane me.n hai
lutf piine me.n nahii.n hai balki kho jaane me.n hai
Asghar Gondvi
Ghazal
taGaaful bad-gumaanii balki merii saKHt-jaanii se
nigaah-e-be-hijaab-e-naaz ko biim-e-gazand aayaa
Mirza Ghalib
Ghazal
jin pe ho.n aise zulm o sitam ham nahii.n vo log
ho.n roz balki lutf o karam aise shaKHs hai.n
Bahadur Shah Zafar
Ghazal
KHatar raah-e-vafaa balki bahut duur khi.nchaa
umr guzrii ki baham naama-o-paiGaam nahii.n
Meer Taqi Meer
Ghazal
yaqii.n hai balki mirii jaan jab ki niklegii
to aa rahegii tumhaare hii jaan koThe par
Nazeer Akbarabadi
Ghazal
Nizam Rampuri
Ghazal
mujh ko kahte hai.n raqiibo.n kii buraa.ii sun kar
vo nahii.n tum se bure balki kahii.n achchhe hai.n
Dagh Dehlvi
Ghazal
be-fikr mai.n nahii.n ki sanam mast-e-KHvaab hai
kyaa kyaa balaa karegaa jo bedaar hovegaa
Siraj Aurangabadi
Ghazal
faqat haath kaale nahii.n balki mun.im
dilo.n par bhii daaG-e-varam dekhte hai.n
Wajid Ali Shah Akhtar
Ghazal
Aasi Ghazipuri
Ghazal
terii vahshat ke ta.ii.n aa.nkh munaasib hai mirii
aa tujhe ek nahii.n balki do viiraane duu.n
Dheerendra Singh Faiyaz
Ghazal
hu.e rone se mire diida-e-bedaar safed
balki ashko.n ne kiyaa ra.ng-e-shab-e-taar safed
Imam Bakhsh Nasikh
Ghazal
Josh Malsiani
Ghazal
utnii hii balki aur bhii tahsiin chaahiye
dekho kalaam-e-Gair jahaa.n jis qadar Galat
Urfi Aafaqi
Ghazal
fat.h-baaGii ne nasar-puurii hai.n balki
sindh me.n bhii haidraabaadii hai.n ham
Maatam Fazl Mohammad
Ghazal
hame.n bhii diijiye apnii galii me.n tho.Dii jagah
Gariib balki Gariib-ud-dayaar ham bhii hai.n