SEARCH RESULTS
Showing search results for "حاشیہ"
Ghazal MATCHES FOR "حاشیہ"
Ghazal
badan pe haashiya likhnaa nigaah par tafsiir
muqallidiin hai.n shoKHii ke apnii shaiKH ka.ii
Shahzad Qais
Ghazal
us ko thaa saKHt iKHtilaaf ziist ke matn se so vo
bar-sar-e-haashiya rahaa aur kamaal kar gayaa
Pirzada Qasim
Ghazal
matn-e-ziist to saaraa be-numuud lagtaa hai
dard-e-be-nihaayat kaa haashiya na hone se
Pirzada Qasim
Ghazal
kaunain se kyaa ahl-e-muhabbat ko sarokaar
kaunain hai KHud haashiya-bardaar-e-mohabbat
Jigar Moradabadi
Ghazal
ham ko apne baare me.n harf harf likhnaa thaa
daastaan lambii thii haashiya nahii.n rakkhaa
Bharat Bhushan Pant
Ghazal
haashiya-bardaar se puuchhaa samundar ne miyaa.n
aaj tak ik mauj bhii tum ko na diivaanii milii
Zafar Imam
Ghazal
mai.n jo ba.Dhtaa huu.n sar-varaq kii taraf
khii.nch letaa hai haashiya mujh ko
Fahmi Badayuni
Ghazal
daad-o-tahsiin burii chiiz nahii.n hai 'meraaj'
bas mujhe haashiya-aaraa.ii se Dar lagtaa hai
Meraj Ahmad Meraj
Ghazal
dushman-e-jaa.n bhii nahii.n ko.ii baraabar us ke
aur miraa haashiya-bardaar bhii aisaa vaisaa
Javed Saba
Ghazal
kuchh bhii ho ye to mire yaar nahii.n ho saktaa
mai.n tiraa haashiya-bardaar nahii.n ho saktaa
Mansoor Usmani
Ghazal
Khursheed Rizvi
Ghazal
ishaarato.n kii vo sharhe.n vo tajziya bhii gayaa
jo gird-e-matn banaa thaa vo haashiya bhii gayaa
Anwar Masood
Ghazal
likhaa hai mujh ko bhii likhnaa pa.Daa hai
jahaa.n se haashiya chho.Daa gayaa hai
Akhtar Nazmi
Ghazal
hu.ii hai jis me.n vazaahat hamaare hone kii
tirii kitaab me.n aaKHir vo haashiya hai kahaa.n
Asim Wasti
Ghazal
merii qismat ki vo ab hai.n mire Gam-KHvaaro.n me.n
kal jo shaamil the tire haashiya-bardaaro.n me.n
Anwar Masood
Ghazal
bayaaz-e-jaa.n me.n sabhii sher KHuub-suurat the
kisii bhii misra-e-ra.ngii.n kaa haashiyaa na hu.aa
Akhtar Hoshiyarpuri
Ghazal
jo asl chiiz thii vo chhupii rah ga.ii kahii.n
kuchh faa.eda na haashiya-aaraa.ii se hu.aa