SEARCH RESULTS
Showing search results for "حجابي"
Ghazal MATCHES FOR "حجابي"
Ghazal
Allama Iqbal
Ghazal
be-hijaabii se tirii TuuTaa nigaaho.n kaa tilism
ik ridaa-e-niil-guu.n ko aasmaa.n samjhaa thaa mai.n
Allama Iqbal
Ghazal
kar diyaa muusaa ko jis chiiz ne behosh 'adam'
be-naqaabii nahii.n vo niim-hijaabii hogii
Abdul Hamid Adam
Ghazal
rakh diyaa mu.nh pe mire haath shab-e-vasl us ne
be-hijaabii ke liye kaam shikaayat aa.ii
Dagh Dehlvi
Ghazal
حسن کامل ہي نہ ہو اس بے حجابي کا سبب
وہ جو تھا پردوں ميں پنہاں ، خود نما کيونکر ہوا
Allama Iqbal
Ghazal
ye aalam ho to un ko be-hijaabii kii zaruurat kyaa
naqaab uThne na paa.e aur jalva aam ho jaa.e
Sheri Bhopali
Ghazal
buraa.ii kuchh to yaqiinan hai be-hijaabii me.n
magar vo fitne jo zer-e-naqaab jaagte hai.n
Akhlaque Bandvi
Ghazal
band mahram ke khule kuchh be-hijaabii ho chukii
vo bhii ab uTh jaa.e jo baaqii hai pardaa ek aur
Aagha Akbarabadi
Ghazal
be-hijaabii jo sahii hai tirii shoKH aa.nkho.n kii
rasm parde kii uThegii isii ghar se pahle