SEARCH RESULTS
Showing search results for "حساس"
Ghazal MATCHES FOR "حساس"
Ghazal
Wasi Shah
Ghazal
ham hai.n hassaas bahut ham ko bachaa kar rakhnaa
phir na simTe.nge jo ik baar bikhar jaa.e.nge
Ram Nath Aseer
Ghazal
taish me.n aane lage tum to mirii tanqiid par
is qadar hassaas ho to aa.inaa dekhaa karo
Manzar Bhopali
Ghazal
ham bhii sau jaate the ma.asuum farishto.n kii tarah
aur ye raat bhii hassaas nahii.n thii pahle
Shakeel Azmi
Ghazal
itne hassaas hai.n saa.nso.n se pighal jaate hai.n
bijliyaa.n ham pe giraane kii zaruurat kyaa thii
Saadullah Shah
Ghazal
Zafar Gorakhpuri
Ghazal
zaraa sii baat par said-e-Gubaar-e-yaas honaa
hame.n barbaad kar degaa bahut hassaas honaa
Jaleel 'Aali'
Ghazal
larze bhii nahii.n shahr ke hassaas dar-o-baam
dil raakh hu.e phir bhii qayaamat nahii.n aa.ii
Aitbar Sajid
Ghazal
Seema Naqvi
Ghazal
gul khilaa saktaa hai aavaara-KHayaalii kaa safar
zehn-e-hassaas ko KHushbuu kaa pataa mat denaa
Seen Sheen Alam
Ghazal
hassaas mai.n bahut huu.n na lag jaa.e dil ko Thes
mahfil me.n muskuraa ke mujhe yuu.n sadaa na de
Ajiz Matvi
Ghazal
dil ho hassaas to jiine me.n bahut ghaaTaa hai
mai.n ne KHud apne hii zaKHmo.n kaa lahuu chaaTaa hai
Muzaffar Warsi
Ghazal
jo zinda o hassaas buto.n kii hai amaanat
us sajde ko ham nazr-e-haram hone na de.nge
Saghar Nizami
Ghazal
bataataa kaise mai.n hassaas ke ma'aanii use
so aa.ine ko uThaayaa uThaa ke chho.D diyaa
Aalam Nizami
Ghazal
chaahtaa jo bhii hai vo kah ke guzar jaataa hai
dil-e-hassaas is ehsaas se mar jaataa hai