SEARCH RESULTS
Showing search results for "دوعالم"
Ghazal MATCHES FOR "دوعالم"
Ghazal
dilo.n ko fikr-e-do-aalam se kar diyaa aazaad
tire junuu.n kaa KHudaa silsila daraaz kare
Hasrat Mohani
Ghazal
tauhiid to ye hai ki KHudaa hashr me.n kah de
ye banda do-aalam se KHafaa mere liye hai
Maulana Mohammad Ali Jauhar
Ghazal
dekh kar nazm-e-do-aalam hame.n kahnaa hii pa.Daa
ye saliiqa hai kase anjuman-aaraa.ii kaa
Mirza Mohammad Hadi Aziz Lakhnavi
Ghazal
naqaab-e-husn-e-do-aalam uThaa.ii jaatii hai
mujhii ko merii tajallii dikhaa.ii jaatii hai
Jigar Moradabadi
Ghazal
mubaarak mubaarak mirii ye fanaa.e.n
do-aalam pe chhaayaa chalaa jaa rahaa huu.n
Jigar Moradabadi
Ghazal
hayaat o maut ke jalve hai.n merii hastii me.n
taGayyuraat-e-do-aalam kaa aa.inaa huu.n mai.n
Bedam Shah Warsi
Ghazal
zaraa shikoh-e-do-aalam ke gumbado.n me.n laraz
phir us ke baa'd teraa faisla jo tuu chaahe
Majeed Amjad
Ghazal
apne hii ghar kii KHair manaa.ii tamaam umr
ham se 'suruur' fikr-e-do-aalam na ho sakii
Aale Ahmad Suroor
Ghazal
Natiq Lakhnavi
Ghazal
Sahir Dehlavi
Ghazal
do-‘aalam kii binaa kyaa jaane kyaa hai
nishaan-e-maa-sivaa kyaa jaane kyaa hai
Akbar Allahabadi
Ghazal
kisii kii KHaak pe sajde kiye jo mai.n ne 'sa.iid'
ataa hu.aa hai do-aalam pe iftiKHaar mujhe
Saeed Shahidi
Ghazal
rahnaa hai yahaa.n bhii hame.n jaanaa hai vahaa.n bhii
ye kaise kahe.n fikr-e-do-aalam na kare.nge
Shameem Sabri
Ghazal
sukuut-e-saaz-e-do-aalam sunaa.ii detaa hai
tire firaaq me.n duniyaa Thahar ga.ii hogii
Daur Afridi
Ghazal
qalb-o-jaa.n fikr-e-do-aalam se rihaa.ii paa le.n
bhar de saaqii mai-e-vahdat mire paimaane me.n