SEARCH RESULTS
Showing search results for "زبون"
Ghazal MATCHES FOR "زبون"
Ghazal
jahaa.n me.n haal miraa is qadar zabuun hu.aa
ki mujh ko dekh ke bismil ko bhii sukuun hu.aa
Akbar Allahabadi
Ghazal
haal-e-zabuun apnaa poshiida kuchh na thaa to
suntaa na thaa ki ye said be-jaan ho rahaa hai
Meer Taqi Meer
Ghazal
zabuun-o-KHvaar hu.ii hai mirii jibillat bhii
mire nasiib-o-viraasat me.n se imaamat bhii
Abul Hasanat Haqqi
Ghazal
baa.is-e-qatl hu.aa haal-e-zabuun-e-bismil
ye agar sach hai to phir aap kaa ehsaa.n bhii nahii.n
Nabiul Hasan Shamim
Ghazal
tumhe.n pataa to chale be-zabaan chiiz kaa dukh
mai.n ab charaaG kii lau hii nahii.n banaa.uu.ngaa
Tahzeeb Hafi
Ghazal
vahii ik KHamosh naGma hai 'shakiil' jaan-e-hastii
jo zabaan par na aa.e jo kalaam tak na pahu.nche
Shakeel Badayuni
Ghazal
zabaan-e-KHaar se niklii sadaa-e-bismillaah
junuu.n ko jab sar-e-shoriida par savaar kiyaa
Dagh Dehlvi
Ghazal
yahii vo shahr jo mere labo.n se boltaa thaa
yahii vo shahr jo merii zabaan dekhtaa hai
Shakeel Azmi
Ghazal
payaambar na mayassar hu.aa to KHuub hu.aa
zabaan-e-Gair se kyaa sharh-e-aarzuu karte
Haidar Ali Aatish
Ghazal
vo aadmii milaa thaa mujhe us kii baat se
aisaa lagaa ki vo bhii bahut be-zabaan hai
Dushyant Kumar
Ghazal
dilbarii Thahraa zabaan-e-KHalq khulvaane kaa naam
ab nahii.n lete parii-ruu zulf bikhraane kaa naam
Faiz Ahmad Faiz
Ghazal
sar-taa-qadam zabaan hai.n juu.n sham.a go ki ham
par ye kahaa.n majaal jo kuchh guftuguu kare.n
Khwaja Meer Dard
Ghazal
sitaara kyaa mirii taqdiir kii KHabar degaa
vo KHud faraaKHi-e-aflaak me.n hai KHvaar o zubuu.n
Allama Iqbal
Ghazal
jise zabaan-e-KHirad me.n sharaab kahte hai.n
vo raushnii sii pilaa.o ba.Daa a.ndheraa hai