SEARCH RESULTS
Showing search results for "زینہ"
Ghazal MATCHES FOR "زینہ"
Ghazal
ziina sabaa kaa Dhuu.nDtii hai apnii musht-e-KHaak
baam-e-buland yaar kaa hai aastaana kyaa
Haidar Ali Aatish
Ghazal
radiif qaafiya bandish KHayaal lafz-garii
vo huur ziina utarte hu.e sikhaane lagii
Shahzad Qais
Ghazal
Kishwar Naheed
Ghazal
ab na vo chhat hai na vo ziina na anguur kii bel
sirf ik us ko bhulaane kii qasam baaqii hai
Nida Fazli
Ghazal
ik kiran thaam ke mai.n dhuup-nagar tak pahu.nchaa
kaun saa arsh hai jis kaa ko.ii ziina hii nahii.n
Shakeb Jalali
Ghazal
kisii taraf ko.ii ziina nazar nahii.n aataa
mai.n us ke zehn me.n kyuu.n-kar utar ke dekhuu.ngii
Aziz Bano Darab Wafa
Ghazal
falak se uupar bhii ek chhat hai zamiin aisii
falak ke us paar ek ziina banaa rahaa huu.n
Anjum Saleemi
Ghazal
justujuu shart hai mil jaa.egaa ziina bhii zaruur
saamne hai nazar-e-shauq ke mukh.Daa teraa
Shad Azimabadi
Ghazal
vo ziina ziina mire dil me.n yuu.n utartaa gayaa
mai.n rok paatii use mujh me.n hausla kab thaa
Farah iqbal
Ghazal
Ashar Najmi
Ghazal
vo pahlaa ziina thaa manzil jise abas jaanaa
kuchh aagahii ke maraahil the aur dhyaan ke baad
Pritpal Singh Betab
Ghazal
naa-umiidii hame.n pahu.nchaatii hai pastii kii taraf
yahii ziina to hai koThe se utar jaane kaa
Shad Azimabadi
Ghazal
chaa.nd kii avval kiran manzar-ba-manzar aa.egii
shaam Dhal jaane do shab ziina utar kar aa.egii