SEARCH RESULTS
Showing search results for "سرگوشیوں"
Ghazal MATCHES FOR "سرگوشیوں"
Ghazal
mai.n apne jism kii sargoshiyo.n ko suntaa huu.n
tire visaal kii saa.at nikaltii jaatii hai
Shahryar
Ghazal
rahoge chaa.nd kii sargoshiyo.n se bhii mahruum
kisii se dhuup kaa jaltaa kalaam mat lenaa
Fawad Ahmad
Ghazal
sargoshiyo.n kii raat hai ruKHsaar o lab kii raat
ab ho rahii hai raat javaa.n dekhte chale.n
Makhdoom Mohiuddin
Ghazal
Iftikhar Raghib
Ghazal
sargoshiyo.n kii mauj kahaa.n le ke jaa.egii
ham kuchh agar junuun me.n bak jaa.e.n ret par
Pallav Mishra
Ghazal
vaaqif kahaa.n the raat kii sargoshiyo.n se ham
bistar kii silvaTo.n se bhii maaluum kab hu.aa
Ashar Najmi
Ghazal
udaas raat kii sargoshiyo.n ke baa'd agar
sahar jo aa.ii to kis ko yaqiin aa.egaa
Mushfiq Khwaja
Ghazal
ajiib sargoshiyo.n kaa aalam thaa anjuman me.n
mai.n sun rahaa thaa zamaana tanqiid kar rahaa thaa
Akhtar Hoshiyarpuri
Ghazal
bhed jab sargoshiyo.n kaa khul ke aayaa saamne
shor vo uTThaa hai apnaa hukmaraa.n bechain hai
Gautam Rajrishi
Ghazal
hazaar bazm kii sargoshiyo.n ne uksaayaa
magar ham ahl-e-zabaa.n ho ke be-zabaa.n guzre
Hosh Nomani Rampuri
Ghazal
har taraf sargoshiyo.n kii sang-baarii al-amaa.n
kar rahaa hai ye zamaana phir hamaarii baat kyaa