SEARCH RESULTS
Showing search results for "عاشقی"
Ghazal MATCHES FOR "عاشقی"
Ghazal
aashiqii sabr-talab aur tamannaa betaab
dil kaa kyaa rang karuu.n KHuun-e-jigar hote tak
Mirza Ghalib
Ghazal
chupke chupke raat din aa.nsuu bahaanaa yaad hai
ham ko ab tak aashiqii kaa vo zamaanaa yaad hai
Hasrat Mohani
Ghazal
ab kyuu.n na zindagii pe mohabbat ko vaar de.n
is aashiqii me.n jaan se jaanaa bahut hu.aa
Ahmad Faraz
Ghazal
aashiqii me.n 'miir' jaise KHvaab mat dekhaa karo
baavle ho jaa.oge mahtaab mat dekhaa karo
Ahmad Faraz
Ghazal
aaGaaz-e-aashiqii kaa mazaa aap jaaniye
anjaam-e-aashiqii kaa mazaa ham se puuchhiye
Khumar Barabankavi
Ghazal
hai aashiqii me.n rasm alag sab se baiThnaa
but-KHaana bhii haram bhii kaliisaa bhii chho.D de
Allama Iqbal
Ghazal
Shakeel Badayuni
Ghazal
ai dil vo aashiqii ke fasaane kidhar ga.e
vo umr kyaa hu.ii vo zamaane kidhar ga.e
Akhtar Shirani
Ghazal
saaf alag ham ko junuun-e-aashiqii ne kar diyaa
KHud ko tere dard kaa pardaa samajh baiThe the ham
Firaq Gorakhpuri
Ghazal
dostii kaa da.avaa kyaa aashiqii se kyaa matlab
mai.n tire faqiiro.n me.n mai.n tire Gulaamo.n me.n
Shoaib Bin Aziz
Ghazal
imtihaan-e-shauq hai aisii aashiqii 'nushuur'
dil kaa ko.ii haal ho un ko dilrubaa kahuu.n
Nushur Wahidi
Ghazal
chaltaa rahne do miyaa.n silsila dildaarii kaa
aashiqii diin nahii.n hai ki mukammal ho jaa.e
Abbas Tabish
Ghazal
pindaar-e-aashiqii kii amaanat hai aah-e-sard
ye tiir aaj chho.D rahe hai.n kamaa.n se ham