SEARCH RESULTS
Showing search results for "عداوت"
Ghazal MATCHES FOR "عداوت"
Ghazal
Mohsin Naqvi
Ghazal
dostii aap se laazim hai magar is ke liye
saarii duniyaa se adaavat ho zaruurii to nahii.n
Saba Akbarabadi
Ghazal
jo dost ho to kahuu.n tujh se dostii kii baat
tujhe to mujh se adaavat kahuu.n to kis se kahuu.n
Bahadur Shah Zafar
Ghazal
kiyaa kare.n vo sunaane ko pyaar kii baate.n
unhe.n hai mujh se adaavat kisii ko kyaa ma.aluum
Dagh Dehlvi
Ghazal
gunjaa.ish-e-adaavat-e-aGyaar yak taraf
yaa.n dil me.n zo.af se havas-e-yaar bhii nahii.n
Mirza Ghalib
Ghazal
magar falak ko adaavat usii ke ghar se thii
jahaa.n 'faraaz' na thaa sail-e-Gam udhar bhii gayaa
Ahmad Faraz
Ghazal
maanaa ki mire ghar se adaavat hii tujhe hai
rahne ko na aa aag lagaane ke liye aa
Kaleem Aajiz
Ghazal
jo hai martaa hai bhalaa kis ko adaavat hogii
aap kyuu.n haath me.n shamshiir liye phirte hai.n
Imam Bakhsh Nasikh
Ghazal
tujh se jaltaa hai jo vo aur jalaate hai.n use
mire haq me.n mire dushman kii 'adaavat achchhii
Riyaz Khairabadi
Ghazal
Nawaz Deobandi
Ghazal
vaarasta us se hai.n ki mohabbat hii kyuu.n na ho
kiije hamaare saath adaavat hii kyuu.n na ho
Mirza Ghalib
Ghazal
apne hii KHuun se is tarah adaavat mat kar
zinda rahnaa hai to saa.nso.n se baGaavat mat kar
Abbas Dana
Ghazal
Ganiim se bhii adaavat me.n had nahii.n maa.ngii
ki haar maan lii lekin madad nahii.n maa.ngii