SEARCH RESULTS
Showing search results for "عیادت"
Ghazal MATCHES FOR "عیادت"
Ghazal
kaun aa.egaa bhalaa merii ayaadat ke liye
bas isii KHauf se biimaar nahii.n hotaa mai.n
Tahzeeb Hafi
Ghazal
sab aa.e merii ayaadat ko vo bhii aayaa thaa
jo sab ga.e to miraa dard-aashnaa bhii gayaa
Parveen Shakir
Ghazal
pursish-e-haal se ho jaa.e.nge phir zaKHm hare
is se behtar hai yahii merii ayaadat mat kar
Abbas Dana
Ghazal
aayaa hai ayaadat ko masiihaa sar-e-baalii.n
ai marg Thahar jaa abhii aanaa nahii.n achchhaa
Bhartendu Harishchandra
Ghazal
Shabeena Adeeb
Ghazal
vo aa.e.nge mirii taqriib-e-marg me.n tauba
kabhii jo rasm-e-ayaadat adaa nahii.n karte
Muztar Khairabadi
Ghazal
ho tujh se ayaadat jo na biimaar kii apne
lene ko KHabar us kii ajal jaa.e to achchhaa
Shaikh Ibrahim Zauq
Ghazal
bahr-ayaadat aa.e vo lekin qazaa ke saath
dam hii nikal gayaa miraa aavaaz-e-paa ke saath
Momin Khan Momin
Ghazal
aate hai.n ayaadat ko to karte hai.n nasiihat
ahbaab se Gam-KHvaar hu.aa bhii nahii.n jaataa
Fani Badayuni
Ghazal
dekhne aa.e the vo apnii mohabbat kaa asar
kahne ko ye hai ki aa.e hai.n ayaadat kar ke
Hasrat Mohani
Ghazal
Mirza Ghalib
Ghazal
na vo ayaadat-o-taskii.n na vo dil-e-ranjuur
na ab vo dard-e-mohabbat na vo davaa.e.n rahii.n
Bismil Saeedi
Ghazal
aayaa hai kaun merii ayaadat ke vaaste
kyuu.n apnaa haal pahle se behtar lagaa mujhe
Akbar Ali Khan Arshi Zadah
Ghazal
itnaa saj-dhaj ke ayaadat ko na aayaa kiije
varna kuchh soch ke ye jaan nikal jaa.egii
Jaleel nizami
Ghazal
vaj.h-e-shikast-e-jang kii taftiish phir kabhii
pahle sipaahiyo.n kii ayaadat kaa vaqt hai
Saleem Siddiqui
Ghazal
dushman ko ayaadat ke liye yaar ne bhejaa
achchhaa ye ilaaj-e-dil-e-ranjuur nikaalaa