SEARCH RESULTS
Showing search results for "فسادات"
Ghazal MATCHES FOR "فسادات"
Ghazal
miraa ghar fasaadaat me.n jal chukaa
vatan jaa.uu.n to kis ke ghar jaa.uu.n mai.n
Khumar Barabankavi
Ghazal
ho gayaa apne pa.Dosii kaa pa.Dosii dushman
aadamiyyat bhii yahaa.n nazr-e-fasaadaat hu.ii
Manzar Bhopali
Ghazal
ai vatan KHaak-e-vatan vo bhii tujhe de de.nge
bach gayaa hai jo lahuu ab ke fasaadaat ke ba.ad
Ali Sardar Jafri
Ghazal
ab to vo nasl bhii ma.aduum hu.ii jaatii hai
jo bataatii thii fasaadaat se pahle kyaa thaa
Shanawar Ishaq
Ghazal
Shakeel Shamsi
Ghazal
Dar gayaa dekh ke mai.n shahr-e-muhazzab kaa chalan
kitne aaseb fasaadaat me.n ghar se nikle
Nafas Ambalvi
Ghazal
hai.n saare fasaadaat zabaano.n kaa natiija
KHaamosh thaa insaan zabaa.n hone se pahle
Amaan Abbas
Ghazal
ye bhii to Ganiimat hai ki ham zinda hai.n ab tak
is shahr-e-fasaadaat me.n ghar apnii jagah hai
Iqbal Jahan Qadeer
Ghazal
dushman hai vo raavan kii tarah vaar karegaa
har samt fasaadaat kaa Dar bol rahaa hai
M. I. Sajid
Ghazal
yuu.n KHauf-e-fasaadaat se chupkaa hai zamaana
ab shahr me.n aane se bhii Darte hai.n musaafir
Khalid Raheem
Ghazal
arbaab-e-vatan ham ko zaraa ye to bataa.e.n
kin zehno.n kii saazish hai fasaadaat ke piichhe
Junaid Hazin Lari
Ghazal
be-nuur na kar jaa.e fasaadaat kii aa.ndhii
lau ghar ke charaaGo.n kii zaraa aur bhii kar tez
Aasi Faiqi
Ghazal
surKH hii surKH hai is shahr kaa manzar-naama
amn hote hii fasaadaat ne a.ng.Daa.ii lii
Tasneem Faruqi
Ghazal
yahaa.n jamhuuriyat kuchlii ga.ii hai
fasaadaat-o-ta.assub kam na ho.nge
Zakir Husain Husaini Zakir
Ghazal
ab kisii sar me.n fasaadaat kii uftaad na ho
aish se raat guzar jaa.e tirii yaad na ho
Shadab Javed
Ghazal
is shahr-e-anaa me.n jo fasaadaat na chhi.Dte
to pyaar kaa ye shauq-e-safar bhii nahii.n jaataa
Vali Madni
Ghazal
tanhaa.ii me.n kartaa hai fasaadaat kii baate.n
mahfil me.n kare hai jo musaavaat kii baate.n
Arman Khan Arman
Ghazal
un amn-pasando.n ke parakhne ko kasauTii
is daur kii tafsiil-e-fasaadaat bahut hai