SEARCH RESULTS
Showing search results for "لعاب"
Ghazal MATCHES FOR "لعاب"
Ghazal
chaa.e me.n mat milaa.iye shakar ki hai zarar-risaa.n
shaamil miThaas vaaste apnaa lu.aab kiijiye
Qamar Aasi
Ghazal
naqaab chehre pe baate.n lu.aab-daar kare
vo rahnumaa hai siyaasat kaa kaarobaar kare
Dinesh Kumar
Ghazal
suluuk-e-ishq me.n be-faiz hai.n vo lab jin se
husuul-e-lazza-e-shiiriinii-e-lu.aab na ho
Muhiuddin Gulfam
Ghazal
Kunwar Ejaz Raja
Ghazal
chaaTaa hai ek 'umr lu.aab-e-zabaan-e-teG
zaKHmo.n ke muddato.n me.n hu.e hai.n dahan durust
Naseem Dehlvi
Ghazal
hazaar Dhuu.nD lo tiryaak zahr-e-Gam ke liye
mire rasuul ke jaisaa ko.ii lu.aab nahii.n
Saeedullah Shad
Ghazal
buu aur maza vo hai tire mu.nh ke lu.aab me.n
goyaa ghulaa hai qand-e-mukarrar gulaab me.n
Hakeem Aagha Jan Aish
Ghazal
lahuu-luhaan pa.Daa thaa zamii.n par ik suuraj
parinde apne paro.n se havaa.e.n karne lage
Rahat Indori
Ghazal
hamaare shahr kii biinaa.iyo.n pe rote hai.n
tamaam shahr ke manzar lahuu-luhaan pa.De
Rahat Indori
Ghazal
vo pahnaa kartii thii a.ngiyaa jo surKH laahii kii
lipaT ke tan se vo tar ho ga.ii pasiine me.n
Nazeer Akbarabadi
Ghazal
thii jo vo laahii kii Topii zaafraanii aap kii
so hamaare paas hai ab tak nishaanii aap kii
Insha Allah Khan Insha
Ghazal
havaa ke haath me.n KHanjar hai aur sab chup hai.n
lahuu-luhaan miraa ghar hai aur sab chup hai.n
Govind Gulshan
Ghazal
lahuu-luhaan thaa shaaKH-e-gulaab kaaT ke vo
hu.aa halaak chaTaano.n ke KHvaab kaaT ke vo
Musavvir Sabzwari
Ghazal
junuu.n na kahiye ise KHud-aziyyatii kahiye
badan tamaam hu.aa hai lahuu-luhaan miraa