SEARCH RESULTS
Showing search results for "مشروط"
Ghazal MATCHES FOR "مشروط"
Ghazal
Gair-mashruut rifaaqat ke taraf-daar hai.n ham
shart ke saath rifaaqat nahii.n hogii ham se
Iqbal Azeem
Ghazal
aks kaa honaa hai mashruut tire hone se
KHud ko pahchaan magar aks ko hairat na banaa
Yunus Tahseen
Ghazal
zindagii tere tasavvur se hii mashruut nahii.n
terii yaado.n se halaakat bhii to ho saktii hai
Yunus Tahseen
Ghazal
mohabbat irtibaat-e-qalb se mashruut hotii hai
yaqiin-o-rabt ke ib.haam ho jaane se Dartaa huu.n
Ali Muzammil
Ghazal
tujh se jo lamha milaa lamha-e-mashruut milaa
vasl kii saa.ato.n me.n hijr ke aadaab bhii the
Mansoor Ahmad
Ghazal
aap chaahe.n to kare.n dard ko dil se mashruut
ham to is tarah kaa bevpaar nahii.n kar sakte
Ayub Khawar
Ghazal
hamaarii gardane.n mashruut hai.n so in ke liye
saro.n ko KHam sar-e-darbaar karnaa pa.Dtaa hai
Athar Nasik
Ghazal
justujuu shart hai manzil nahii.n mashruut-e-talab
gum ho is tarah ki gard-e-rah-e-manzil ho jaa.e
Ehsan Danish
Ghazal
Sidra Sahar Imran
Ghazal
sad shukr vo ta.abiir se mashruut nahii.n thii.n
bachpan me.n sunaa karte the jo KHvaab kahaanii
Abdussalam Asim
Ghazal
Shafiq Khalish
Ghazal
hamaare taKHt ko mashruut kar rakkhaa hai us ne
hamaare taaj ko ban-baas se baa.ndhaa hu.aa hai
Khalid Karrar
Ghazal
mujh ko vahii milaa mujhe jis kii talab na thii
mashruut kuchh nahii.n hai yahaa.n aarzuu ke saath
Shakeel Jazib
Ghazal
saa.ns lenaa bhii tirii yaad se mashruut hu.aa
tuu ne kyaa rog lagaayaa hai mirii jaan ke saath