SEARCH RESULTS
Showing search results for "مقفل"
Ghazal MATCHES FOR "مقفل"
Ghazal
meraa dil bhii kisii aaseb-zada ghar kii tarah
KHud-ba-KHud khulne lage KHud hii muqaffal ho jaa.e
Abbas Tabish
Ghazal
jahaa.n KHud ko muqaffal kar rakhaa thaa
mai.n us kamre kii chaabii kho chukaa huu.n
Jahangeer nayab
Ghazal
jalaa.e rakkhaa hai mai.n ne bhii ik charaaG-e-umiid
tumhaaraa dar bhii muqaffal nahii.n hu.aa ab tak
Jahangeer nayab
Ghazal
iid kaa din hai so kamre me.n pa.Daa huu.n 'aslam'
apne darvaaze ko baahar se muqaffal kar ke
Aslam Kolsarii
Ghazal
dar dariiche sab muqaffal kar ke baiThe ho magar
vo achaanak aa gayaa to kyaa karoge soch lo
Fakhira batool
Ghazal
kaisii dastak thii ki darvaaze muqaffal ho ga.e
aur is ke saath ruudaad-e-qafas puurii hu.ii
Shahryar
Ghazal
ye bastiyaa.n hai.n ki maqtal du.aa kiye jaa.e.n
du.aa ke din hai.n musalsal du.aa kiye jaa.e.n
Iftikhar Arif
Ghazal
sabhii rishto.n ke darvaaze muqaffal ho rahe hai.n
hamaare biich jo raste the daldal ho rahe hai.n
Aziz Nabeel
Ghazal
mai-kada band muqaffal hai.n dar-e-dair-o-haram
dekhnaa hai ki 'shakiil' aaj kidhar jaate hai.n
Shakeel Badayuni
Ghazal
mere allaah nazar bhar ke use dekh to luu.n
phir tuu chaahe mirii aa.nkho.n ko muqaffal kar de
Farhat Nadeem Humayun
Ghazal
insaaniyat ko qatl kiyaa jaa.e is liye
dair o haram kii aa.D me.n maqtal hai.n aaj bhii
Divakar Rahi
Ghazal
ham to samjhe the ki chaaro.n dar muqaffal ho chuke
kyaa KHabar thii ek darvaaza khulaa rah jaa.egaa
Najeeb Ahmad
Ghazal
vo sho.ala-e-savaal ki duniyaa ujaal de
dil ke charaaG me.n to muqaffal na kar use
Saqi Faruqi
Ghazal
hosh-o-havaas khone lagaa huu.n firaaq me.n
tanhaa.iyo.n ne aisaa muqaffal kyaa mujhe
Ashhad Bilal Ibn-e-chaman
Ghazal
samaa'ato.n ke sabhii dar yahaa.n muqaffal hai.n
na jaane kab se sadaa.e.n lagaa rahaa huu.n mai.n
Sarfraz Nawaz
Ghazal
dar-e-umiid muqaffal nahii.n hu.aa ab tak
mai.n tere hijr me.n paagal nahii.n hu.aa ab tak