SEARCH RESULTS
Showing search results for "نمو"
Ghazal MATCHES FOR "نمو"
Ghazal
tarah tarah ke shaguufe jo chho.Dtaa hai tuu
mai.n dil kaa baaG-e-numuu hii ujaa.D Daaluu.ngaa
Jaun Eliya
Ghazal
ko.ii to habs-e-havaa se ye puuchhtaa 'mohsin'
milaa hai kyaa use kaliyo.n ko be-numuu kar ke
Mohsin Naqvi
Ghazal
kyaa zaruurii hai ki baahar hii numuu ho merii
meraa khilnaa mire andar bhii to ho saktaa hai
Abbas Tabish
Ghazal
ye naa-guziir hai ummiid kii numuu ke liye
guzartaa vaqt kahii.n tham gayaa to kyaa hogaa
Jawad Sheikh
Ghazal
jo zaKHm zaKHm-e-zabaa.n bhii hai aur numuu bhii hai
to phir ye vahm hai kaisaa ki ham hunar se ga.e
Obaidullah Aleem
Ghazal
Josh Malihabadi
Ghazal
ye shahr zehn se KHaalii numuu se aarii hai
balaa.e.n phirtii hai.n yaa.n dast o paa o sar ke baGair
Saleem Ahmed
Ghazal
tabii.ato.n kaa numuu hai havaa-e-maGrib me.n
ye Gairate.n ye haraarat ye garmiyaa.n kab tak
Akbar Allahabadi
Ghazal
khultaa hai har ik Guncha-e-nau-josh-e-numuu se
ye sach hai magar lams-e-havaa bhii hai ko.ii chiiz
Sahir Ludhianvi
Ghazal
Mirza Ghalib
Ghazal
Erum Zehra
Ghazal
sharaab-e-husn ko kuchh aur hii taasiir detaa hai
javaanii ke numuu se be-KHabar honaa la.Dakpan me.n
Chakbast Braj Narayan
Ghazal
vo ra.ng-fishaa.n aa.nkh vo tasviir-numaa haath
dikhlaa.e.n na.e roz manaazir to mujhe kyaa
Obaidullah Aleem
Ghazal
numuu-paziir hai ye shola-e-navaa to ise
har aane vaale zamaane kii peshvaa.ii de