SEARCH RESULTS
Showing search results for "نگاہ_کم_سخن"
Ghazal MATCHES FOR "نگاہ_کم_سخن"
Ghazal
jab anjuman tavajjoh-e-sad-guftuguu me.n ho
merii taraf bhii ik nigah-e-kam-suKHan pa.De
Majeed Amjad
Ghazal
kyaa aise kam-suKHan se ko.ii guftuguu kare
jo mustaqil sukuut se dil ko lahuu kare
Ahmad Faraz
Ghazal
Akhtar Hoshiyarpuri
Ghazal
mire saare harf tamaam harf azaab the
mire kam-suKHan ne suKHan kiyaa to KHabar hu.ii
Iftikhar Arif
Ghazal
halke se ik sukuut ke parde ke baavajuud
us kam-suKHan se raat ba.Dii guftuguu rahii
Wali Aasi
Ghazal
mai.n rasm-e-alvidaa.a me.n bhii kam-suKHan rahaa
lahraa.e baar baar mire haath der tak
Talib Husain Talib
Ghazal
us kam-suKHan kii ab ke guftaar dekh lenaa
har baat par chalegii talvaar dekh lenaa
Mohammad Rafi
Ghazal
jhukii nigaah vo kam kam suKHan dam-e-iqraar
vo harf harf tiraa intiKHaab jaisaa thaa
Shaz Tamkanat
Ghazal
shikva kare.nge ham na taGaaful-shi.aar kaa
mahfil me.n kam-suKHan kaa ziyaada vaqaar hai
Humaira Gul Tishna
Ghazal
vo kam-suKHan na thaa par baat soch kar kartaa
yahii saliiqa use sab me.n mo'tabar kartaa
Taimur Hasan
Ghazal
kyaa kyaa rahe hai.n harf o hikaayat ke silsile
vo kam-suKHan nahii.n thaa magar dekhne me.n thaa
Mustafa Zaidi
Ghazal
tazaad-e-zaat ke baa.is khulaa vo kam-suKHan aisaa
adhuurii baat ke mafhuum bhii puure nikal aa.e
Khalid Moin
Ghazal
mujhe hai shauq miraa kam-suKHan kahe kuchh to
use hai fikr ki jumla na KHarch ho jaa.e