SEARCH RESULTS
Showing search results for "گدھا"
Ghazal MATCHES FOR "گدھا"
Ghazal
ye gadhaa jo apnii Gaflat se hai bevaquuf itnaa
jo ye KHud ko jaan jaataa ba.Daa hoshiyaar hotaa
Kaif Ahmed Siddiqui
Ghazal
load-shedding kii shikaayat pe dolattii maare
log bijlii ke minister ko gadhaa kahte hai.n
Khalid Irfan
Ghazal
gin ke detaa hai balaa-nosho.n ko paimaana abhii
vaaqa'ii bilkul gadhaa hai piir-e-mai-KHaana abhii
Shauq Bahraichi
Ghazal
tum gaa.o apne raag ko us paas vaa.izo
mushtaaq jo gadhaa ho tumhaare alaap kaa
Waliullah Muhib
Ghazal
shaiKH ko vo jahl hai sau baar ka.abe ke ta.ii.n
jaa.e aur aa.e va-lekin phir gadhaa insaa.n na ho
Raza Azimabadi
Ghazal
be-talab de.n to mazaa us me.n sivaa miltaa hai
vo gadaa jis ko na ho KHuu-e-savaal achchhaa hai
Mirza Ghalib
Ghazal
nigaah-e-faqr me.n shaan-e-sikandarii kyaa hai
KHiraaj kii jo gadaa ho vo qaisarii kyaa hai
Allama Iqbal
Ghazal
darbaar me.n jaanaa miraa dushvaar bahut hai
jo shaKHs qalandar ho gadaa ho nahii.n saktaa
Munawwar Rana
Ghazal
manzil-e-ishq-o-tavakkul manzil-e-ezaaz hai
shaah sab baste hai.n yaa.n ko.ii gadaa miltaa nahii.n
Akbar Allahabadi
Ghazal
tumhe.n to shahr ke aadaab tak nahii.n aate
ziyaada kuchh yahaa.n puuchhaa-guchhaa nahii.n jaataa
Zeb Ghauri
Ghazal
Allama Iqbal
Ghazal
kahii.n hai baadshaah-e-taKHt-nashii.n
kahii.n kaasa liye gadaa dekhaa
Shah Niyaz Ahmad Barelvi
Ghazal
miltaa hai KHiraaj us ko tirii naan-e-javii.n se
har baadshah-e-vaqt tire dar kaa gadaa hai
Faiz Ahmad Faiz
Ghazal
apne raaziq ko na pahchaane to muhtaaj-e-muluuk
aur pahchaane to hai.n tere gadaa daaraa o jam
Allama Iqbal
Ghazal
shaaho.n pe faKHr karte the is mulk ke gadaa
thaa misl-e-jaam-e-jam mai-o-miinaa-e-lucknow
Wajid Ali Shah Akhtar
Ghazal
gadaa-gadii bhii ik usluub-e-fan hai jab mai.n ne
usii ko maa.ng liyaa us se iltijaa kar ke