SEARCH RESULTS
Showing search results for "आबयारी"
Ghazal MATCHES FOR "आबयारी"
Ghazal
tamaam-'umr guzaaruu.ngaa aabyaarii me.n
kuchh is tarah ki mai.n KHud ko haraa nahii.n rakhuu.ngaa
Abhishek Shukla
Ghazal
talKHi-e-kaam-o-dahan kii aabyaarii ke liye
daavat-e-shiiraaz-e-abr-o-baad kar lete hai.n ham
Wamiq Jaunpuri
Ghazal
zamiin-e-dil pe mohabbat kii aab-yaarii ko
bahut hii TuuT ke barsii ghaTaa udaasii kii
Shahida Majeed
Ghazal
mujhe to karnii pa.Dii aabyaarii-e-sahraa
magar nasiib me.n thii tishnagii samundar kii
Shaz Tamkanat
Ghazal
aa.nkh kahtii hai hame.n ab ashk-baarii chho.D de.n
aa.nsu.o.n se dil kii kaise aabyaarii chho.D de.n
Mannan Qdeer Mannan
Ghazal
ashk bheje.n mauj ubhaare.n abr jaarii kiijiye
mehrbaa.n sail-e-balaa kii aabyaarii kiijiye
Ahmad Shahryar
Ghazal
sabza-e-begaana se rishta miraa kuchh kam nahii.n
is chaman kii aabyaarii ai ghaTaa mai.n ne bhii kii
Obaid Siddiqi
Ghazal
jaane kis ummiid par huu.n aabyaarii me.n magan
ek pattaa bhii nahii.n suukhii hu.ii Tahnii ke saath
Iqbal Naved
Ghazal
haq agar ko.ii numuu kaa thaa to vo us ne adaa
kar diyaa hai baadalo.n se aabyaarii baa.ndh kar
Khaavar Jilani
Ghazal
samar o gul hai.n gulistaan-farosho.n ke liye
aabyaarii ke liye KHuun-e-jigar meraa hai
Waheed Akhtar
Ghazal
ek dard kii lazzat barqaraar rakhne ko
kuchh latiif jazbo.n kii KHuu.n se aabyaarii kii
Ikram Mujeeb
Ghazal
aab-yaarii jo hu.ii hai to shajar bhii ho.nge
tuu ne samjhaa thaa Galat KHuun kii arzaanii ko
Saleem Shahid
Ghazal
tamaam 'umr tire Gam kii aabyaarii kii
to shaaKH-e-jaa.n me.n gul-e-taaza kaa samar aayaa
Seeman Naved
Ghazal
mere zimme shajar kii aabyaarii 'umr-bhar thii
magar is kaa samar shaayad muqaddar me.n nahii.n thaa
Amit Goswami
Ghazal
lahuu se aabyaarii karne vaalo kuchh to socho
ye saaraa baaG be-barg-o-samar kyuu.n lag rahaa hai
Mohammad Ahmad Ramz
Ghazal
nadii se kah do idhar tishnagii balaa kii hai
ye suukh jaa.egii sahraa kii aabyaarii me.n