SEARCH RESULTS
Showing search results for "क़त्ल-गाह"
Ghazal MATCHES FOR "क़त्ल-गाह"
Ghazal
har samt qatl-gaah kaa manzar hai aaj bhii
poshiida aastiino.n me.n KHanjar hai aaj bhii
Danish Farahi
Ghazal
savaad-e-qatl-gaah ke KHilaaf raushnii hu.ii
firangiyo.n kii Topiyaa.n havaa u.Daa ke le ga.ii
Sarfaraz Khan Azmi
Ghazal
bas ik hamaaraa lahuu sarf-e-qatl-gaah hu.aa
kha.De hu.e the bahut apne jism o jaa.n le kar
Zubair Rizvi
Ghazal
afsos ve shahiid ki jo qatl-gaah me.n
lagte hii us ke haath kii talvaar mar ga.e
Meer Taqi Meer
Ghazal
fazaa kushaada nahii.n qatl-gaah kii ye kahaa.n
mire lahuu kaa parinda u.Daan par niklaa
Faza Ibn e Faizi
Ghazal
hamaare ahd ke sayyaad ham se chaahe.nge
ki qatl-gaah ko apnaa chaman kahaa jaa.e
Arshad Nazar
Ghazal
khule hu.e the jis pe faaKHta ke par
vo shahr qatl-gaah kaise ban gayaa
Hasnain Asghar Tabassum
Ghazal
mai.n bach bhii jaa.uu.n to tanhaa.ii maar Daalegii
mire qabiile kaa har fard qatl-gaah me.n hai
Parveen Shakir
Ghazal
vo payambar ho ki aashiq qatl-gaah-e-shauq me.n
taaj kaa.nTo.n kaa kise duniyaa ne pahnaayaa na thaa
Qateel Shifai
Ghazal
vo le ke hausla-e-azm-e-be-panaah chale
jo log ha.nste hu.e suu-e-qatl-gaah chale
Arsh Malsiyani
Ghazal
uThaa ke sar mujhe itnaa to dekh lene de
ki qatl-gaah me.n diivaane aa.e hai.n kyaa kyaa
Kaifi Azmi
Ghazal
jo KHema-gaah se nikluu.n to qatl-gaah talak
paTaa hu.aa tire a.azaa se raasta chaahuu.n
Ishrat Afreen
Ghazal
hai shor aamad-aamad qaatil jo dair se
ha.ngaama jaa.n-nisaaro.n kaa hai qatl-gaah me.n
Asad Ali Khan Qalaq
Ghazal
ye qist qist tabassum sulagte ho.nTo.n par
sajaa ke ab ke bhii mai.n qatl-gaah jaa.uu.ngaa
Mahboob Anwar
Ghazal
mirii hayaat hii qaatil sahii magar 'mutrib'
ba.De sukuun se mai.n apnii qatl-gaah me.n thaa
Mutrib Baliyavi
Ghazal
‘ushshaaq qatl ho ga.e sab qatl-gaah me.n
baaqii nahii.n rahaa ko.ii qaatil ke aas-paas
Shaheer Machlishahri
Ghazal
'kamaal' is qatl-gaah-e-raushnii me.n
hazaaro.n baar mai.n bujh kar jalaa huu.n