SEARCH RESULTS
Showing search results for "क़द-ओ-क़ामत"
Ghazal MATCHES FOR "क़द-ओ-क़ामत"
Ghazal
qiimat nahii.n rakkhii qad-o-qaamat nahii.n rakkhaa
ham ne to ko.ii kaar-e-siyaasat nahii.n rakkhaa
Khumar Qureshi
Ghazal
'taabish' kaa qayaamat se yaqii.n uTh na gayaa ho
kuchh din se vo zikr-e-qad-o-qaamat nahii.n kartaa
Abbas Tabish
Ghazal
yaaro mujhe masluub karo tum ki mire baad
shaayad ki tumhaaraa qad-o-qaamat nikal aa.e
Ahmad Faraz
Ghazal
kuchh khoyaa hu.aa hai jo kisii ko nahii.n miltaa
phirte hai.n pareshaa.n qad-o-qaamat mire aage
Shakeel Gwaliari
Ghazal
jise KHamiida saro.n se mile qad-o-qaamat
use kisii na kisii din KHudaa to honaa thaa
Ameen Rahat Chugtai
Ghazal
shu'uur ke qad-o-qaamat pe hai nazar kis kii
ye farba-chashm zamaana jasaamate.n maa.nge
Abdul Ahad Saaz
Ghazal
itnaa idraak hai apne qad-o-qaamat kaa mujhe
mai.n kabhii jaame se baahar nahii.n hone paataa
Athar Ziai
Ghazal
gum apne hii saa.e me.n hai.n haT jaa.e.n to shaayad
khoyaa hu.aa apnaa qad-o-qaamat nazar aa.e
Raza Hamdani
Ghazal
tamaam sarv niguu.n-saar the pahaa.Do.n par
achaanak us qad-o-qaamat kii baat kii us ne
Syed Jawed
Ghazal
kis havaale se vo dekhe qad-o-qaamat apnaa
apnii suurat hii nahii.n aa.ina-bardaar ke paas
Rafiuddin Raz
Ghazal
jitne baune the unhe.n tamGa-o-e.azaaz milaa
aur chup rah ga.e uu.nche qad-o-qaamat vaale
Zafar Siddiqui
Ghazal
dekhaa hai ye parchhaa.ii.n kii duniyaa me.n ki aksar
apne qad-o-qaamat se bhii kuchh log ba.De hai.n
Akhtar Hoshiyarpuri
Ghazal
ham ek hii maa'buud rakhaa karte the jab tak
ham me.n kabhii jhag.De qad-o-qaamat ke nahii.n the
Shakeel Azmi
Ghazal
kuchh zargiraan-e-shahr ne ahl-e-kamaal kaa
chehra banaa liyaa qad-o-qaamat kahaa.n se laa.e.n
Razi Akhtar Shauq
Ghazal
mas.ala aan pa.Daa hai qad-o-qaamat kaa ise
dil ki dam legaa kahii.n dard baraabar ho kar
Shaheen Abbas
Ghazal
Zafar Sahbai
Ghazal
Tanveer Sipra
Ghazal
dekhaa jo palaT kar to mire saa.e me.n gum thaa
vo shaKHs jo mujh se qad-o-qaamat me.n ba.Daa hai