SEARCH RESULTS
Showing search results for "ठिकाने"
Ghazal MATCHES FOR "ठिकाने"
Ghazal
vo hai.n paas aur yaad aane lage hai.n
mohabbat ke hosh ab Thikaane lage hai.n
Khumar Barabankavi
Ghazal
chalo 'faiz' phir se kahii.n dil lagaa.e.n
sunaa hai Thikaane ke din aa rahe hai.n
Faiz Ahmad Faiz
Ghazal
tuu bhii KHushbuu hai magar meraa tajassus bekaar
barg-e-aavaara kii maanind Thikaane mere
Ahmad Faraz
Ghazal
merii zabaa.n pe shikva-e-dard-aafrii.n rahe
shaayad mire havaas Thikaane nahii.n rahe
Jigar Moradabadi
Ghazal
phir aaj mai-kada-e-dil se lauT aa.e hai.n
phir aaj ham ko Thikaane kaa ham-sabuu na milaa
Zafar Iqbal
Ghazal
gumaan thaa ki samajh le.nge mausamo.n kaa mizaaj
khulii jo aa.nkh to zad pe sabhii Thikaane the
Aashufta Changezi
Ghazal
teraa kuucha tiraa dar terii galii kaafii hai
be-Thikaano.n ko Thikaane kii zaruurat kyaa hai
Shahid Kabir
Ghazal
nahii.n aisaa bhii ki ik umr kii qurbat ke nashe
ek do roz kii ranjish se Thikaane lag jaa.e.n
Ahmad Faraz
Ghazal
kyuu.n havelii ke uja.Dne kaa mujhe afsos ho
saik.Do.n be-ghar parindo.n ke Thikaane ho ga.e
Bashir Badr
Ghazal
'firaaq' apnii qismat me.n shaayad nahii.n the
Thikaane ke din yaa Thikaane kii raate.n
Firaq Gorakhpuri
Ghazal
ik soch me.n gum huu.n tirii diivaar se lag kar
manzil pe pahu.nch kar bhii Thikaane na lagaa mai.n
Abbas Tabish
Ghazal
din saliiqe se ugaa raat Thikaane se rahii
dostii apnii bhii kuchh roz zamaane se rahii
Nida Fazli
Ghazal
aaj kal phir dil-e-barbaad kii baate.n hai.n vahii
ham to samjhe the ki kuchh aql Thikaane aa.ii
Kaif Bhopali
Ghazal
mai.n ne bhii dekh liyaa aaj use Gair ke saath
ab kahii.n jaa ke mirii aql Thikaane aa.ii
Anjum Rehbar
Ghazal
Rahat Indori
Ghazal
varna vahii ujaa.D havelii sii zindagii
tum aa ga.e to vaqt Thikaane se kaT gayaa