SEARCH RESULTS
Showing search results for "पर-ओ-बाल"
Ghazal MATCHES FOR "पर-ओ-बाल"
Ghazal
pa.Dtii hai nazar jab ki par-o-baal par apne
rotaa huu.n qafas me.n bahut ahvaal par apne
Joshish Azimabadi
Ghazal
kuchh parinde hai.n magan mausamii parvaazo.n me.n
ek aa.ndhii hai par-o-baal katarne vaalii
Ambar Bahraichi
Ghazal
baavajuude ki par-o-baal na the aadam ke
vahaa.n pahu.nchaa ki farishte kaa bhii maqduur na thaa
Khwaja Meer Dard
Ghazal
u.Daan merii par-o-baal se bhii aage thii
u.Daa ke mujh ko mirii shaa.irii kahii.n pahu.nchii
Kavish Badri
Ghazal
kis me.n ab kitnii u.Daano.n kii sakat baaqii hai
har parinde ke par-o-baal bataa dete hai.n
Fazil Jamili
Ghazal
sayyaad ko phir bhii mirii parvaaz kaa Dar thaa
mai.n garche qafas me.n thaa par-o-baal ba.ndhe the
Ahmad Faraz
Ghazal
le ga.e saare par-o-baal u.Daa kar kargas
yaad aataa hai ki aazaad hu.e the ham bhii
R P Shokh
Ghazal
le ga.e saare par-o-baal u.Daa kar kargas
yaad aataa hai ki aazaad hu.e the ham bhii
R P Shokh
Ghazal
mahfil-e-yaar me.n 'KHaamosh' hai laazim tujh ko
misl-e-parvaana par-o-baal jalaanaa jaanaa
Shah Khamosh Sabri
Ghazal
tire shahparo.n me.n zamaa.n makaa.n ke hai.n faasle
tuu uqaab hai to numuud kar par-o-baal se
Mohammad Ahmad Ramz
Ghazal
girii aasmaa.n se to KHaak KHaak me.n aa milii
kabhii KHaak me.n par-o-baal the vo kahaa.n ga.e
Khursheed Rizvi
Ghazal
ab kii sayyaad ne turfa sitam iijaad kiyaa
be-par-o-baal samajh kar hame.n aazaad kiyaa
Asad Ali Khan Qalaq
Ghazal
u.Dte u.Dte hii bikhar jaa.e.n par-o-baal ai kaash
taa.ir-e-jaa.n ko tah-e-daam na hone duu.ngaa
Sabir Zafar
Ghazal
vo murG-e-chaman hai.n ki bahaar apnii KHizaa.n hai
kaliyaa.e par-o-baal jab apne to jha.De phuul
Imdad Ali Bahr
Ghazal
har taa.ir-e-parraa.n ke par-o-baal karo qai.nch
har banda-e-aazaad ko shiishe me.n utaaro