SEARCH RESULTS
Showing search results for "बे-इश्क़"
Ghazal MATCHES FOR "बे-इश्क़"
Ghazal
balaa se KHalq ho be-dard ishq kyaa Gam hai
jaraahat-e-dil-e-mahzuu.n kaa dard marham hai
Ishq Aurangabadi
Ghazal
saada-ruuyo.n se ye qaul-e-dil-e-be-ishq hai 'shaad'
aap ai aa.ina-ruu aur ko.ii ghar dekhe.n
Shad Lakhnavi
Ghazal
dil-e-be-ishq se kaunain me.n tuu hogaa KHaraab
barhaman dair me.n ka.abe me.n musalmaa.n hogaa
Meer Kallu Arsh
Ghazal
anjaam-e-ishq maanaa aksar buraa hu.aa hai
be-ishq zindagii kaa anjaam kyaa hu.aa hai
Anwar Khalil
Ghazal
be-ishq ke javaanii kaTnii nahii.n munaasib
kyuu.nkar kahuu.n ki achchhaa hai jeTh kaa na tapnaa
Akbar Allahabadi
Ghazal
mastaana hamesha raho ai aashiq-e-'afriidii'
be-ishq agar ko.ii mardaana hu.aa to kyaa
Qasim Ali Khan Afridi
Ghazal
be-ishq yak maraz thii mujhe apnii zindagii
achchhaa hu.aa jo ishq kaa aazaar ho gayaa
Maharaja Sir Kishan Parashad Shad
Ghazal
husn be-ishq kahii.n rah nahii.n saktaa zinda
bujh ga.ii sham.a bhii parvaane ke jal jaane se
Sahir Hoshiyarpuri
Ghazal
mard kyuu.nkar kahuu.n be-ishq jo hove ko.ii
firqa ushshaaq me.n us ke ta.ii.n kahte hai.n kaniiz
Qasim Ali Khan Afridi
Ghazal
be-'ishq-e-butaa.n 'umr guzaarii nahii.n jaatii
achchhaa hai ki paidaa ye KHalal kar liyaa jaa.e
Yawar Azeem
Ghazal
'umr be-‘ishq jo guzrii vo rahii be-haasil
hech hai 'ishq agar 'umr kaa haasil na banaa
Sikandar Ali Wajd
Ghazal
be-ishq jitnii KHalq hai insaa.n kii shakl me.n
nazro.n me.n ahl-e-diid ke aadam ye sab nahii.n
Waliullah Muhib
Ghazal
Qamar Jalalvi
Ghazal
be-ishq umr kaT nahii.n saktii hai aur yaa.n
taaqat ba-qadr-e-lazzat-e-aazaar bhii nahii.n