SEARCH RESULTS
Showing search results for "रिवायात"
Ghazal MATCHES FOR "रिवायात"
Ghazal
dil to rotaa rahe or aa.nkh se aa.nsuu na bahe
ishq kii aisii rivaayaat ne dil to.D diyaa
Sudarshan Faakir
Ghazal
jin se afsaana-e-hastii me.n tasalsul thaa kabhii
un mohabbat kii rivaayaat ne dam to.D diyaa
Saghar Siddiqui
Ghazal
shaa.erii kaa ko.ii andaaz samajhtaa hai inhe.n
vo mohabbat kii rivaayaat samajhtaa hii nahii.n
Fatima Hasan
Ghazal
ahl-e-haram se un kii rivaayaat chhiin lo
aahuu ko marG-zaar-e-KHutan se nikaal do
Allama Iqbal
Ghazal
ishq me.n aaj bhii hai niim-nigaahii kaa chalan
pyaar karte hai.n usii husn-e-rivaayaat se ham
Jan Nisar Akhtar
Ghazal
duniyaa kii rivaayaat se begaana nahii.n huu.n
chhe.Do na mujhe mai.n ko.ii diivaana nahii.n huu.n
Shakeel Badayuni
Ghazal
yazdaan o ahrman kii hikaayaat ke badle
insaa.n kii rivaayaat ko dohraa ke guzar jaa
Saghar Siddiqui
Ghazal
husn ke sehr o karaamaat se jii Dartaa hai
ishq kii zinda rivaayaat se jii Dartaa hai
Hasan Naim
Ghazal
jism se noch ke phe.nkii bhii to KHushbuu na ga.ii
ye rivaayaat kii bosiida qabaa kaisii thii
Qaisarul Jafri
Ghazal
ilzaam kise de.n ki tire pyaar me.n ham par
jo kuchh bhii rahii hasb-e-rivaayaat rahii hai
Mustafa Zaidi
Ghazal
ham kiye jaate hai.n taqliid-e-rivaayaat-e-junuu.n
aur KHud chaak-e-girebaa.n bhii siye jaate hai.n
Iqbal Azeem
Ghazal
ahl-e-dil ne kiye ta.amiir haqiiqat ke sutuu.n
ahl-e-duniyaa ko rivaayaat pe ronaa aayaa
Zaki kakorvi
Ghazal
ham rivaayaat ke munkir nahii.n lekin 'majruuh'
zamzama-sanj miraa KHuun-e-jigar hai ki nahii.n
Majrooh Sultanpuri
Ghazal
kaun rah rah ke vafaa.o.n ko nibhaanaa siikhe
kaun farsuuda rivaayaat kaa matlab samjhe
Komal Joya
Ghazal
aur to aur KHud insaan bahaa jaataa hai
kitnaa pur-haul hai tuufaan-e-rivaayaat ai 'josh'
Josh Malihabadi
Ghazal
naam bad-naam hu.aa sinf-e-Gazal kaa lekin
shaa.irii rasm-o-rivaayaat se aage na ba.Dhii
Shakeel Badayuni
Ghazal
dukh banaate hai.n banaa kar mire paas aate hai.n
apne purkho.n kii rivaayaat sa.nbhaale hu.e log
Jaani Lakhnavi
Ghazal
zehn zinda hai magar apne savaalaat ke saath
kitne uljhaa.o hai.n zanjiir-e-rivaayaat ke saath