SEARCH RESULTS
Showing search results for "शोहदा"
Ghazal MATCHES FOR "शोहदा"
Ghazal
surKHii me.n nahii.n dast-e-hinaa-basta bhii kuchh kam
par shoKHii-e-KHuun-e-shohdaa mere liye hai
Maulana Mohammad Ali Jauhar
Ghazal
jo zamii.n kuucha-e-qaatil me.n nikaltii hai na.ii
vaqf vo bahr-e-mazaar-e-shohadaa hotii hai
Akbar Allahabadi
Ghazal
ai 'mehr' tavaarud ho.n jo mazmuu.n to bajaa hai
mai.n aur 'hazii.n' dono.n hai.n shohdaa-e-banaaras
Hatim Ali Mehr
Ghazal
daaman ko bachaataa hai vo kaafir ki mabaadaa
chhuu jaa.e kahii.n paaki-e-KHuun-e-shohdaa se
Hasrat Mohani
Ghazal
huuraan-e-jinaa.n ne hame.n aa.nkho.n pe biThaayaa
dekhe to ko.ii martaba tere shohdaa kaa
Mohammad Yusuf Rasikh
Ghazal
ba-KHudaa aziim-tar hai shohdaa ke KHuun se bhii
mire siina-e-qalam me.n jo bharii hai raushnaa.ii
Josh Malihabadi
Ghazal
shohdaa ne.mat-e-duniyaa kii talab bhuul ga.e
KHuun ke ghuu.nT me.n aisaa hii mazaa hotaa hai
Saqib Lakhnavi
Ghazal
ashk-e-gulguu.n ko na KHuun-e-shohadaa ko dekhaa
shoKH jaisaa ki tire rang-e-hinaa ko dekhaa
Mirza Mayal Dehlvi
Ghazal
vaariso.n ko na rahaa yaad ki virsa kyaa thaa
aur kafan bhii shohdaa kaa abhii mailaa na hu.aa
Rasheed Kausar Farooquee
Ghazal
dasht me.n jaltii hai.n taa-hadd-e-nazar yuu.n sham.e.n
sar-e-har-KHaar pe KHuun-e-shohadaa ho jaise
Ajiz Matvi
Ghazal
kitne bhii ho.n kushte maraz-e-hirs-o-havaa ke
biimaar kii maut aur hai marg-e-shohadaa aur
Najm Aafandi
Ghazal
allah re phaban surKHii-e-KHuun-e-shohadaa kii
ham tujh pe do-aalam kii nazar dekh rahe hai.n
Mohsin Darbhangwi
Ghazal
kuu-e-qaatil me.n hai KHuunii kafano.n kaa majma.a
ai.nDate phirte hai.n kyaa kyaa shohadaa ek se ek
Shah Akbar Danapuri
Ghazal
arsa-e-hashr tak ik lag gayaa taa.ntaa un kaa
murde qabro.n se jo tere shohdaa ke uTThe
Dattatriya Kaifi
Ghazal
daastaa.n husn-e-haqiiqat kii thii rangii.n lekin
itnii rangii.n na thii KHuun-e-shohadaa se pahle
Sarosh Lucknowi
Ghazal
diin-e-haq kii nahii.n kar paayaa hifaazat to phir
shohadaa pak.De.nge garebaan zaraa hosh me.n aa