SEARCH RESULTS
Showing search results for "सरगोशी-ए-अग़्यार"
Ghazal MATCHES FOR "सरगोशी-ए-अग़्यार"
Ghazal
suntaa nahii.n vo varna ye sargoshi-e-aGyaar
kyaa mujh ko gavaaraa hai ki mai.n kuchh nahii.n kahtaa
Momin Khan Momin
Ghazal
kah do baqqaal pisar se ki miraa dil le kar
qasd-e-aKHz-e-dil-e-aGyaar na haa.n kiijiyegaa
Abdul Rahman Ehsan Dehlvi
Ghazal
gunjaa.ish-e-adaavat-e-aGyaar yak taraf
yaa.n dil me.n zo.af se havas-e-yaar bhii nahii.n
Mirza Ghalib
Ghazal
ye aqiidat hii kahii.n darpai-e-aazaar na ho
sharf-e-paa-bosii-e-aGyaar se Dar lagtaa hai
Azeem Hyderabadi
Ghazal
jahaa.n pe apne hii rahne na de.n vahaa.n 'haaris'
ba-vaj.h-e-taa’na-e-aGyaar bhii nahii.n rahte
Haris Bilal
Ghazal
bahr-e-sargoshii-e-bedaad balaa aatii hai
kaan ke paas tirii zulf-e-dotaa aatii hai
Munshi Banwari Lal Shola
Ghazal
sar hai apno.n hii ke altaaf-o-inaayaat se KHam
tab-e-minnat-kash-e-aGyaar kahaa.n se laa.uu.n
Athar Ziai
Ghazal
sadma-sohbat-e-aGyaar na uThegaa kabhii
aur jo zulm karo sab hai.n gavaaraa mujh ko
Asad Ali Khan Qalaq
Ghazal
iltijaa ke liye apno.n se takalluf hai mujhe
sheva-e-minnat-e-aGyaar kahaa.n se laa.uu.n
Bazm Ansari
Ghazal
ab tak shariik-e-mahfil-e-aGyaar kaun hai
ham bevafaa hu.e to KHataa-vaar kaun hai
Zehra Nigaah
Ghazal
Thahraa iz.haar-e-vafaa shikva-e-vasl-e-aGyaar
rashk se haasil-e-taqriir ulaT jaataa hai
Mohammad Zakariyya Khan
Ghazal
maa.il-e-sohbat-e-aGyaar to ham hai.n tum kaun
kyuu.n buraa maan ga.e yaar to ham hai.n tum kaun
Muztar Khairabadi
Ghazal
Ashique Akbarabadi
Ghazal
kuchh aur ba.Dh ga.ii hai giraa.n-baarii-e-hayaat
sharminda-e-navaazish-e-aGyaar kyo.n hu.e
Nasir Ansari
Ghazal
kasrat-e-majma-e-aGyaar se mahruum rahaa
na hu.aa bazm me.n mujh tak guzar-e-jaam-e-sharaab
Dagh Dehlvi
Ghazal
Abdul Hamid Adam
Ghazal
go tum ko razaa-juu.ii-e-aGyaar hai lekin
jaatii hai mulaaqaat kab aise sababo.n se
Mirza Ghalib
Ghazal
daraaz-dastii-e-aGyaar kaa gilaa kyaa hai
aduu ko bhuul ga.e mehrbaa.n ko bhuul ga.e
Barq Hyderabadi
Ghazal
ik aah-e-zer-e-lab ke gunahgaar ho ga.e
ab ham bhii daaKHil-e-saf-e-aGyaar ho ga.e