SEARCH RESULTS
Showing search results for "हलावत"
Ghazal MATCHES FOR "हलावत"
Ghazal
uruusii kii shab kii halaavat thii haasil
farah-naak thii ruuh dil shaadmaa.n thaa
Haidar Ali Aatish
Ghazal
sajdo.n me.n vo pahlii se halaavat nahii.n 'kausar'
jab se asar-e-gardish-e-ayyaam liyaa hai
Kausar Niyazi
Ghazal
haraarate.n hai.n ma.aal-e-halaavat-e-duniyaa
vo zahr hai jise ham shahd-e-naab samjhe hai.n
Meer Anees
Ghazal
KHuun-e-dil piine se jo kuchh hai halaavat ham ko
ye mazaa aur kisii ko nahii.n mai piine me.n
Bahadur Shah Zafar
Ghazal
aa.nkh jalte hu.e lamho.n se milaanaa hogaa
dil me.n biitii hu.ii sadiyo.n kii halaavat hii sahii
Ameer Ahmad Khusro
Ghazal
badal na jaa.e kahii.n iltifaat-e-husn kaa ra.ng
halaavat-e-nigah-e-muKHtasar kii baat karo
Sufi Ghulam Mustafa Tabassum
Ghazal
ye shaam aur us par tirii yaado.n kii halaavat
ik jaam me.n do shai kaa nasha Dhuu.nDh rahaa huu.n
Nafas Ambalvi
Ghazal
Zubair Rizvi
Ghazal
puuchhe hai kyaa halaavt-e-talKHaaba-e-sarishk
sharbat hai baaG-e-KHuld-e-barii.n ke anaar kaa
Shaikh Ibrahim Zauq
Ghazal
aa.nkho.n me.n nuur hai na halaavat zabaan me.n
ahbaab itne saare hai.n miiThaa ko.ii to ho
Khaleel Mamoon
Ghazal
saaqii tumhaare madh-bhare ho.nTo.n kaa shukriya
baada-kashii kii saarii halaavat tamaam-shud
Arshad Mahmood Arshad
Ghazal
Imdad Ali Bahr
Ghazal
tire labo.n se hai albatta ik halaavat-e-ziist
nabaat-e-qand-e-shakar a.ngbii.n to kuchh bhii nahii.n
Akbar Allahabadi
Ghazal
Meer Taqi Meer
Ghazal
biite hu.e dino.n kii halaavat kahaa.n se laa.e.n
ik miiThe miiThe dard kii raahat kahaa.n se laa.e.n
Moin Ahsan Jazbi
Ghazal
nazro.n se churaataa rahaa jismo.n kii halaavat
sunte hai.n ko.ii saahib-e-iimaan banaa thaa