SEARCH RESULTS
Showing search results for ".dnz"
Ghazal MATCHES FOR ".dnz"
Ghazal
mahfil me.n tum aGyaar ko duz-diida nazar se
manzuur hai pinhaa.n na rahe raaz to dekho
Momin Khan Momin
Ghazal
agar hotaa zamaana gesuu-e-shab-ra.ng kaa tere
mirii shab-diiz saudaa kaa ziyaada-tar qadam nikle
Bahadur Shah Zafar
Ghazal
KHushbuu to muddato.n kii zamii.n-doz ho chukii
ab sirf pattiyo.n ko havaa me.n uchhaaliye
Qateel Shifai
Ghazal
zaKHmii huu.n tire naavak-e-duz-diida-nazar se
jaane kaa nahii.n chor mire zaKHm-e-jigar se
Shaikh Ibrahim Zauq
Ghazal
paasbaanaan-e-hayaa kyaa hu.e ai daulat-e-husn
ham churaa kar tirii duz-diida nazar jaate hai.n
Akhtar Shirani
Ghazal
hai.n naavak-e-dil-doz mire yaar ke tevar
ik baar vo sab tiir chalaa kyuu.n nahii.n detaa
Ibn-e-Raza
Ghazal
Arzoo Lakhnavi
Ghazal
Fani Badayuni
Ghazal
terii aahe.n bhii pahu.nch jaa.e.ngii rab tak ik din
aaho.n me.n apnii vo dil-doz asar paidaa kar
Ram Chandr Varma Sahil
Ghazal
baaqii na rahii naavak-e-dil-doz kii haajat
zaalim tirii siidhii sii nazar bhii hai ko.ii chiiz
Nooh Narvi
Ghazal
Guruur thaa jinhe.n apnii zamiin-daarii kaa
zamiin-doz hu.aa KHaandaan kis kaa thaa
Rukhsana amrohvii
Ghazal
phuul to gir ke zamii.n-doz ho jaa.e.nge par
KHushbu.o.n ko to abhii baad-e-sabaa honaa hai
Zubair Alam
Ghazal
hai.n taak me.n ik shoKH kii duz-diida nigaahe.n
allaah nigahbaan hai ab jaan-e-hazii.n kaa
Ahsan Marahravi
Ghazal
duz-diida nigaaho.n me.n ik ilhaam kii duniyaa
naazuk se tabassum me.n ik ejaaz kaa aalam
Ghulam Rabbani Taban
Ghazal
vo musaafir paa-ba-jaulaa.n jaane kyuu.n lab-doz the
ek jaisaa dard-e-afsaana sabhii chehro.n pe thaa
Basheer Dada
Ghazal
bastii ke sulagte hu.e ghar dekh rahe hai.n
dil-doz manaazir hai.n magar dekh rahe hai.n