SEARCH RESULTS
Showing search results for ".rilk"
Ghazal MATCHES FOR ".rilk"
Ghazal
ai taa.ir-e-laahautii us rizq se maut achchhii
jis rizq se aatii ho parvaaz me.n kotaahii
Allama Iqbal
Ghazal
kho gayaa aaj kahaa.n rizq kaa dene vaalaa
ko.ii roTii jo kha.Daa maa.ng rahaa hai mujh se
Jan Nisar Akhtar
Ghazal
talaash-e-rizq me.n dariyaa ke panchhiyo.n kii tarah
tamaam umr mujhe Duubnaa ubharnaa hai
Asad Badayuni
Ghazal
mai.n ne kal KHvaab me.n aa.inda ko chalte dekhaa
rizq aur ishq ko ik ghar se nikalte dekhaa
Azm Bahzad
Ghazal
roz ik taaza qasiida na.ii tashbiib ke saath
rizq bar-haq hai ye KHidmat nahii.n hogii ham se
Iftikhar Arif
Ghazal
rizq malbuus makaa.n saa.ns maraz qarz davaa
munqasim ho gayaa insaa.n inhii afkaar ke biich
Mohsin Naqvi
Ghazal
KHushaa vo dil ki saraapaa tilism-e-be-KHabarii ho
junuun o yaas o alam rizq-e-mudda.aa-talabii hai
Mirza Ghalib
Ghazal
allaah re terii tundi-e-KHuu jis ke biim se
ajzaa-e-naala dil me.n mire rizq-e-ham hu.e
Mirza Ghalib
Ghazal
siine kaa daaG hai vo naala ki lab tak na gayaa
KHaak kaa rizq hai vo qatra ki dariyaa na hu.aa
Mirza Ghalib
Ghazal
Parveen Shakir
Ghazal
ajab talaash-e-musalsal kaa iKHtitaam hu.aa
husuul-e-rizq hu.aa bhii to zer-e-daam hu.aa
Aanis Moin
Ghazal
kahaa.n ke naam o nasab ilm kyaa faziilat kyaa
jahaan-e-rizq me.n tauqiir-e-ahl-e-haajat kyaa
Iftikhar Arif
Ghazal
afsos ki dandaa.n kaa kiyaa rizq falak ne
jin logo.n kii thii dar-KHur-e-aqd-e-guhar a.ngusht
Mirza Ghalib
Ghazal
bas hame.n ishq kii aashufta-sarii khii.nchtii hai
rizq ke vaaste ham ne kabhii hijrat nahii.n kii
Saleem Kausar
Ghazal
Meer Anees
Ghazal
talaash-e-rizq me.n ye shaam is tarah guzar ga.ii
ko.ii hai apnaa muntazir KHayaal hii nahii.n rahaa
Aitbar Sajid
Ghazal
halaal rizq kaa matlab kisaan se puuchho
pasiina ban ke badan se lahuu nikaltaa hai