SEARCH RESULTS
Showing search results for "aaGaaz"
Ghazal MATCHES FOR "aaGaaz"
Ghazal
aaGaaz to hotaa hai anjaam nahii.n hotaa
jab merii kahaanii me.n vo naam nahii.n hotaa
Meena Kumari Naaz
Ghazal
aaGaaz se anjaam-e-safar dekh rahaa huu.n
dekhaa nahii.n jaataa hai magar dekh rahaa huu.n
Balmohan panday
Ghazal
kabhii to sub.h tire kunj-e-lab se ho aaGaaz
kabhii to shab sar-e-kaakul se mushk-baar chale
Faiz Ahmad Faiz
Ghazal
Hamidullah Afsar
Ghazal
shaayad aaGaaz hu.aa phir kisii afsaane kaa
hukm aadam ko hai jannat se nikal jaane kaa
Shakeel Badayuni
Ghazal
har naGma-e-pur-dard har ik saaz se pahle
ha.ngaama bapaa hotaa hai aaGaaz se pahle
Afzal Allahabadi
Ghazal
chup hai aaGaaz me.n, phir shor-e-ajal pa.Dtaa hai
aur kahii.n biich me.n imkaan kaa pal pa.Dtaa hai
Irfan Sattar
Ghazal
vaqt abhii paidaa na hu.aa thaa tum bhii raaz me.n the
ek shikasta sannaaTaa thaa ham aaGaaz me.n the
Saqi Farooqi
Ghazal
jo bhii anjaam ho aaGaaz kiye dete hai.n
mausamo.n ko nazar-andaaz kiye dete hai.n
Faragh Rohvi
Ghazal
na.e sire se ko.ii safar aaGaaz nahii.n kartaa
jaane kyuu.n ab dil meraa parvaaz nahii.n kartaa
Alam Khursheed
Ghazal
ishq aaGaaz me.n halkii sii KHalish rakhtaa hai
baad me.n saik.Do.n aazaar se lag jaate hai.n
Ahmad Faraz
Ghazal
kisii ko kyaa KHabar ai sub.h vaqt-e-shaam kyaa hogaa
KHudaa jaane tire aaGaaz kaa anjaam kyaa hogaa
Shad Azimabadi
Ghazal
un nigaaho.n ko ham-aavaaz kiyaa hai mai.n ne
tab kahii.n giit kaa aaGaaz kiyaa hai mai.n ne
Fawad Ahmad
Ghazal
ret muTThii me.n bharii paanii se aaGaaz kiyaa
saKHt mushkil me.n thaa aasaanii se aaGaaz kiyaa
Daniyal Tareer
Ghazal
na to aaGaaz na anjaam pe ronaa aayaa
apnii diqqat kii har ik shaam pe ronaa aayaa
Kanwal Siyalkoti
Ghazal
lutf-e-aaGaaz milaa lazzat-e-anjaam ke ba.ad
hausla dil kaa ba.Dhaa koshish-e-naakaam ke ba.ad
Hasan Naim
Ghazal
us but ke liye mai.n havas-e-huur se guzraa
is ishq-e-KHush-anjaam kaa aaGaaz to dekho