SEARCH RESULTS
Showing search results for "aaKHir-kaar"
Ghazal MATCHES FOR "aaKHir-kaar"
Ghazal
aaKHirii zarb ko dil tiir hu.aa aaKHir-kaar
naKHshab-e-husn bhii tasKHiir hu.aa aaKHir-kaar
Yawar Warsi
Ghazal
ba-tarz-e-KHvaa sajaanii pa.Dii hai aaKHir-kaar
na.ii zamiin banaanii pa.Dii hai aaKHir-kaar
Daniyal Tareer
Ghazal
rang laa kar hii rahaa un kaa shabaab aaKHir-kaar
jis ne dekhaa vo hu.aa KHaana-KHaraab aaKHir-kaar
Abul Baqa Sabr Saharanpuri
Ghazal
rah ga.e KHud ulajh ke aaKHir-kaar
raaz-e-hastii chale the suljhaane
Haji Shafiullah Shafi Bahraichi
Ghazal
aarzuu ne jis kii poro.n tak thaa sahlaayaa mujhe
KHaak aaKHir kar gayaa us chaa.nd kaa saaya mujhe
Anwar Sadeed
Ghazal
sukuun Dhuu.nDte thak jaa.uu.n aur aaKHir-kaar
vo ta.ng galiyo.n me.n miTTii kaa ghar nazar aa.e
Anis Abr
Ghazal
ham aaKHir-kaar shiishe me.n utar jaate kisii din
tumhe.n ik aur nusKHa aazmaanaa chaahiye the
Shamshad shaad
Ghazal
azal se falsafa thaame havaala-ba-havaala hii
ham aaKHir-kaar pahu.nche to sahii insaan ke nazdiik
Tauheed Zeb
Ghazal
aaKHir tum par hijr asar-andaaz hu.aa
tum ne aaKHir-kaar sa.nvarnaa chho.D diyaa
Mehshar Afridi
Ghazal
duniyaa vaalo aaKHir-kaar turaabii huu.n
mai.n haatho.n par suuraj dharnaa chaahtaa huu.n
Imran Rahib
Ghazal
safar me.n itnii hii raftaar rakh ki aaKHir-kaar
pahu.nch ke tuu sar-e-manzil kahii.n niDhaal na ho
Shagufta Naim Hashmi
Ghazal
phiraa bahuteraa bhaTaktaa hu.aa mai.n aaKHir-kaar
tere kuuche ke ta.ii.n apnaa Thikaanaa jaanaa
Shah Khamosh Sabri
Ghazal
aaKHir-kaar pukaaraa use zaalim kah kar
dard ne dost kaa ikraam bhii rahne na diyaa
Raheel Farooq
Ghazal
aa gayaa yazdaa.n ko taras aaKHir kaar
itnaa sharminda-o-naadim thaa gunahgaar ki bas
Mubarak Shamim
Ghazal
'umr Dhalii to zehn ne chho.D diyaa thaa saath
dil hii aaKHir-kaar hamaare kaam aayaa