SEARCH RESULTS
Showing search results for "aal-e-ahmad"
Ghazal MATCHES FOR "aal-e-ahmad"
Ghazal
umiid jin se thii vaz-e-junuu.n nibhaane kii
vo log vaqt ke saa.nche me.n Dhal ga.e kaise
Aale Ahmad Suroor
Ghazal
ahl-e-daanish hu.e arbaab-e-siyaasat ke muriid
aisii pastii pe mire dil me.n chhurii lagtii hai
Aale Ahmad Suroor
Ghazal
jis ne kiye hai.n phuul nichhaavar kabhii kabhii
aa.e hai.n us kii samt se patthar kabhii kabhii
Aale Ahmad Suroor
Ghazal
tamaam umr kaTii us kii justujuu karte
ba.De dino.n me.n ye tarz-e-kalaam aayaa hai
Aale Ahmad Suroor
Ghazal
jabr-e-haalaat kaa to naam liyaa hai tum ne
apne sar bhii kabhii ilzaam liyaa hai tum ne
Aale Ahmad Suroor
Ghazal
Aale Ahmad Suroor
Ghazal
Gairat-e-ishq kaa ye ek sahaaraa na gayaa
laakh majbuur hu.e un ko pukaaraa na gayaa
Aale Ahmad Suroor
Ghazal
safar taviil sahii haasil-e-safar kyaa thaa
hamaare paas ba-juz daulat-e-nazar kyaa thaa
Aale Ahmad Suroor
Ghazal
shaah-raaho.n se guzarte hai.n shab-o-roz hujuum
na.ii raahe.n hai.n faqat chand jiyaalo.n ke liye
Aale Ahmad Suroor
Ghazal
rashk aataa hai hame.n apne muqaddar pe 'nabiil'
aal-e-ahmad kii sadaa ham ne azaa-daarii kii
Nabeel Ahmad Nabeel
Ghazal
saahil o bahr ke aa.iin salaamat na rahe
ab to saahil se bhii tuufaan uThaa karte hai.n
Aale Ahmad Suroor
Ghazal
gard u.Daa.ii jo siyaasat ne vo aaKHir dhul ga.ii
ahl-e-dil kii KHaak me.n bhii zindagii paa.ii ga.ii
Aale Ahmad Suroor
Ghazal
ek diivaane ko itnaa hii sharaf kyaa kam hai
zulf o zanjiir se yak-guuna shaGaf kyaa kam hai
Aale Ahmad Suroor
Ghazal
saaya-e-gul me.n zaraa der jo sustaa.e hai.n
saaya-e-daar se ye va.ada-KHilaafii to nahii.n
Aale Ahmad Suroor
Ghazal
ye shaaKH-e-gul kii lachak bhii payaam rakhtii hai
basaan-e-teG the jo ham ko haq-parast mile
Aale Ahmad Suroor
Ghazal
hai aaj aur hii kuchh zulf-e-taabdaar me.n KHam
bhaTakne vaale ko manzil kaa raasta to milaa
Aale Ahmad Suroor
Ghazal
aamad aamad kisii KHurshiid-e-jahaa.n-taab kii hai
peshvaa.ii ke liye anjum o mah jaate hai.n
Aale Ahmad Suroor
Ghazal
ye daur mujh se KHirad kaa vaqaar maa.nge hai
dil ab bhii shauq ke lail-o-nahaar maa.nge hai
Aale Ahmad Suroor
Ghazal
aa.iin-e-paasdaarii-e-sahraa na chhuT sakaa
vaz'-e-junuu.n agarche badalte rahe hai.n ham
Aale Ahmad Suroor
Ghazal
fikr-e-raushan ko vo shoriida-sarii kahte hai.n
yaa'nii suuraj ko charaaG-e-saharii kahte hai.n