SEARCH RESULTS
Showing search results for "bahattar"
Ghazal MATCHES FOR "bahattar"
Ghazal
sunaa hai us ke labo.n se gulaab jalte hai.n
so ham bahaar pe ilzaam dhar ke dekhte hai.n
Ahmad Faraz
Ghazal
viiraa.n hai mai-kada KHum-o-saaGar udaas hai.n
tum kyaa ga.e ki ruuTh ga.e din bahaar ke
Faiz Ahmad Faiz
Ghazal
Mirza Ghalib
Ghazal
ye zaruurii to nahii.n saath me.n lashkar nikle
karbalaa yaad karo sirf bahattar nikle
Khan Janbaz
Ghazal
KHudaa ke aaKHirii lashkar me.n bas bahattar the
KHudaa ko karb-o-balaa jiitne kii KHvaahish thii
Imran Rahib
Ghazal
hai karaamat mire dil kii tire naavak me.n nahii.n
vaar ho ek magar zaKHm bahattar aa jaa.e.n
Pirzada Qasim
Ghazal
dekho vahii to vaqt nahii.n aa rahaa hai phir
phir aaj apne saath bahattar hii rah na jaa.e.n
Irtiza Nishat
Ghazal
Nazeer Akbarabadi
Ghazal
mujh se ranjish hai to maidaan me.n aa jaa.iye aap
merii tasviir ke Tuk.De na bahattar kiije
Moid Rahbar Lakhnavi
Ghazal
ek sho.ale kii lapak nuur me.n Dhal kar aa.ii
ek kirdaar bahattar se numuudaar hu.aa
Dilawar Ali Aazar
Ghazal
jaa.n-nisaar ab bhii mire saath bahattar hai.n vahii
dekh lo barpaa abhii karb-o-balaa kar ke mujhe
Naseer Baloch
Ghazal
bujhaa sakegaa na mujh ko tamaam aab-e-jahaa.n
miyaan-e-dasht bahattar kii tishnagii huu.n mai.n
Kazim Jarwali
Ghazal
us baat kaa aa.ndhii ko gumaa.n bhii nahii.n hogaa
lo ek thii faanuus bahattar nikal aa.e
Anjum Khaleeq
Ghazal
vo bhii insaan hai kis kis ko navaazegaa 'fuzail'
phuul sii jaan ke piichhe hai.n bahattar aashiq