SEARCH RESULTS
Showing search results for "bahil"
Ghazal MATCHES FOR "bahil"
Ghazal
ai girya tuu KHaatir se mirii kiijo na sarfa
mai.n KHuun-e-dil-e-KHasta kiyaa tujh pe bahil aaj
Qayem Chaandpuri
Ghazal
yahii hai zindagii kuchh KHvaab chand ummiide.n
inhii.n khilauno.n se tum bhii bahal sako to chalo
Nida Fazli
Ghazal
hamaare KHat ke to purze kiye pa.Dhaa bhii nahii.n
sunaa jo tuu ne ba-dil vo payaam kis kaa thaa
Dagh Dehlvi
Ghazal
ham dard-ba-dil naalaa.n vo dast-ba-dil hairaa.n
ai ishq to kyaa zaalim teraa hii zamaanaa hai
Jigar Moradabadi
Ghazal
muddato.n baa'd us ne aaj mujh se ko.ii gila kiyaa
mansab-e-dilbarii pe kyaa mujh ko bahaal kar diyaa
Parveen Shakir
Ghazal
Faiz Ahmad Faiz
Ghazal
zahe vo dil jo tamannaa-e-taaza-tar me.n rahe
KHoshaa vo umr jo KHvaabo.n hii me.n bahal jaa.e
Obaidullah Aleem
Ghazal
Allama Iqbal
Ghazal
bhale dino.n kaa bharosaa hii kyaa rahe.n na rahe.n
so mai.n ne rishta-e-Gam ko bahaal rakkhaa hai
Ahmad Faraz
Ghazal
shaayad tire labo.n kii chaTak se ho jii bahaal
ai dost muskuraa ki tabii.at udaas hai
Abdul Hamid Adam
Ghazal
paa-ba-gil sab hai.n rihaa.ii kii kare tadbiir kaun
dast-basta shahr me.n khole mirii zanjiir kaun
Parveen Shakir
Ghazal
daur-ba-daur dil-ba-dil dard-ba-dard dam-ba-dam
tere yahaa.n ri.aayat-e-haal nahii.n rakhii ga.ii
Jaun Eliya
Ghazal
Hafeez Merathi
Ghazal
Gam se bahal rahe hai.n aap aap bahut ajiib hai.n
dard me.n Dhal rahe hai.n aap aap bahut ajiib hai.n
Pirzada Qasim
Ghazal
KHaar-ba-KHaar gul-ba-gul fasl-e-bahaar aa ga.ii
fasl-e-bahaar aa ga.ii zaKHm bahaal ho ga.e