SEARCH RESULTS
Showing search results for "bargad"
Ghazal MATCHES FOR "bargad"
Ghazal
tho.Dii der me.n jangal ham ko aaq karegaa
bargad dekhe.n yaa bargad kii shaaKHe.n dekhe.n
Tahzeeb Hafi
Ghazal
za'iif bargad ke haath me.n raa'sha aa gayaa hai
jaTaa.e.n aa.nkho.n pe gir rahii hai.n uThaa.e ko.ii
Gulzar
Ghazal
Jan Nisar Akhtar
Ghazal
Kaif Bhopali
Ghazal
dekhuu.n to mire jism pe shaaKHe.n hai.n na patte
sochuu.n to ghanaa chhaa.nv mai.n bargad se ziyaada
Iqbal Sajid
Ghazal
roz suntaa huu.n mai.n bargad se puraane qisse
aur use apnii kahaanii bhii sunaa detaa huu.n
Mohsin Asrar
Ghazal
Janan Malik
Ghazal
bargad kii shaaKH to.D dii aa.ndhii ne pichhlii raat
is vaaste to gaa.nv kaa buu.Dhaa udaas hai
Imran Rahib
Ghazal
ik yahii vasf hai is me.n jo amar lagtaa hai
vo ka.Dii dhuup me.n bargad kaa shajar lagtaa hai
Priya Tabita
Ghazal
Gamo.n kii dhuup me.n bargad kii chhaa.nv jaisii hai
mire liye mirii ham-shiir maa.o.n jaisii hai
Tanveer Sipra
Ghazal
hai puraanaa pe.D bargad kaa use sab ilm hai
panchhiyo.n ko thaa bharam ye jaantaa kuchh bhii nahii.n
Shikha Pachouly
Ghazal
ab vo bargad hai na vo panghaT na ab vo gopiyaa.n
aise pas-manzar me.n kyaa gaa.nv kaa manzar dekhnaa
Zafar Kaleem
Ghazal
ThanDii chhaa.nv dekh ke vo aa baiThaa thaa
ulajh gayaa bargad kii ghanii jaTaa.o.n me.n
Rajinder Manchanda Bani
Ghazal
ab vo chaupaal ke qisse na vo fursat na vo log
ab to har gaa.nv se bargad kaa shajar kaTtaa hai