SEARCH RESULTS
Showing search results for "barsar-e-mahfil"
Ghazal MATCHES FOR "barsar-e-mahfil"
Ghazal
be-hijaabaana vo kal jab bar-sar-e-mahfil ga.e
jitne murjhaa.e the chehre ek dam se khil ga.e
Aamir Ata
Ghazal
merii sadaa.e.n barsar-e-mahfil na jab rahii.n
duniyaa ne tanhaa chho.D diyaa KHaak par mujhe
Hassaan Arfi
Ghazal
sham.a-saa.n barsar-e-mahfil na jalaa dekh mujhe
phail jaa.uu.ngaa sitamgar jo pighal jaa.uu.ngaa
Bayan Meeruthi
Ghazal
jhuknaa hii pa.Daa barsar-e-mahfil hame.n aaKHir
piichhe na haTe baat se apnii vo zaraa bhii
Sahir Siyalkoti
Ghazal
tumhaaraa raqs bhii jaa.ez hai bar-sar-e-mahfil
hamaaraa baiTh ke piinaa bhii ab haraam hu.aa
Javed Qamar Liyaqati
Ghazal
sab ko KHabar to ho ki vo meraa hai bas miraa
pahluu me.n yaar barsar-e-mahfil bhii chaahiye
Imran-ul-haq Chauhan
Ghazal
chup jo rahtaa huu.n to huu.n barsar-e-mahfil mujrim
arz kartaa huu.n to sarkaar pe harf aataa hai
Fartash Syed
Ghazal
ye tamaashaa bhii mire dil ko jilaa kar dekho
sham.a hasrat se jalii bar-sar-e-mahfil kyuu.nkar
Jameela Khuda Bakhsh
Ghazal
mere daaman pe ye kis raah se chhii.nTe.n aa.ii.n
daastaa.n bar-sar-e-mahfil to sunaa.ii bhii nahii.n
Abdullah Saqib
Ghazal
'bebaak' miTaa saktaa nahii.n ham ko zamaana
ham haq ke liye bar-sar-e-paikaar rahe hai.n
Shan-e-Haider Bebak Amrohvi
Ghazal
dekh kar shauq-e-shahaadat bar-sar-e-maqtal miraa
qaatilo.n ne haath se ghabraa ke KHanjar rakh diye
Shan-e-Haider Bebak Amrohvi
Ghazal
Ibn۔e۔Insha
Ghazal
jo tirii mahfil se zauq-e-KHaam le kar aa.e hai.n
apne sar vo KHud hii ik ilzaam le kar aa.e hai.n