SEARCH RESULTS
Showing search results for "barse.n"
Ghazal MATCHES FOR "barse.n"
Ghazal
vo siidhii-saadii adaa.e.n ki bijliyaa.n barse.n
vo dil-baraana muravvat ki 'aashiqaana lage
Nasir Kazmi
Ghazal
bastiyaa.n aag me.n bah jaa.e.n ki patthar barse.n
ham agar so.e hu.e hai.n to jagaa do ham ko
Ehsan Danish Kandhlvi
Ghazal
bijliyaa.n ab to tire abr-e-karam kii barse.n
umr-bhar apne sulagte kaa tamaashaa dekhaa
Ahmad Nadeem Qasmi
Ghazal
mirii sadaa pe na barse.n agar tirii aa.nkhe.n
to harf o saut ke saare diye bujhaa duu.ngaa
Saqi Faruqi
Ghazal
Kafeel Aazar Amrohvi
Ghazal
qarya-e-jaa.n pe kabhii TuuT ke barse.n 'ruuhii'
zarf ashko.n ko vo baadal nahii.n hone detaa
Rehana Roohi
Ghazal
taa sub.h mai-kade se rahii botalo.n kii maa.ng
barse.n kahaa.n ye kaalii ghaTaa.e.n tamaam raat
Riyaz Khairabadi
Ghazal
baa.nhe.n tan kaa haar hu.ii.n sab lamhe bane gulaab
bulbul ne ik giit sunaayaa aur shahnaa.ii shaam
Sara Khan
Ghazal
Mushtaq Singh
Ghazal
bastii bastii ghor a.ndheraa yaa a.ngaare barse.n
sahraa sahraa narm ujaale jaisii terii marzii
Muzaffar Hanfi
Ghazal
phir ab kii baar lahuu-ra.ng baarishe.n barse.n
kisii ne kaaT diye hai.n saro.n ke jangal phir
Rafia Shabnam Abidi
Ghazal
huur bhii saamne ab aa.e to kab dekhe.n 'nizaam'
barse.n guzre.n hame.n vo shauq-e-nazar chho.D diyaa
Nizam Rampuri
Ghazal
vo bahaar kaash aa.e vo chale havaa-e-dil-kash
ki qafas pe phuul barse.n mirii shaaKH-e-aashiyaa.n se
Faza jalandharii
Ghazal
na barse.n bhalaa kis liye KHuu.n ke aa.nsuu
ki mamnuun-e-dil diida-e-tar rahe hai.n
Behzad Lakhnavi
Ghazal
aa.nsuu hazaar TuuT ke barse.n to pii ke chup
ik qahqaha u.De to khanakte hai.n raaste
Ram Parkash Rahi
Ghazal
barse.n vafaa ke chaa.nd kii kirne.n kuchh is tarah
be-nuur aa.ngano.n ko bhii tanviir mil ga.ii