SEARCH RESULTS
Showing search results for "bolte"
Ghazal MATCHES FOR "bolte"
Ghazal
pahlii baar nazro.n ne chaa.nd bolte dekhaa
ham javaab kyaa dete kho ga.e savaalo.n me.n
Bashir Badr
Ghazal
jhuuT jab bolte hai.n vo to du.aa hotii hai
yaa ilaahii mirii baato.n me.n asar paidaa kar
Bekhud Dehlvi
Ghazal
yaa to jo naa-fahm hai.n vo bolte hai.n in dino.n
yaa jinhe.n KHaamosh rahne kii sazaa ma.aluum hai
Shuja Khaavar
Ghazal
bolte bolte jab sirf zabaa.n rah ga.e ham
tab ishaare se bataayaa ki kahaa.n rah ga.e ham
Shaheen Abbas
Ghazal
mai.n sach kahuu.n pas-e-diivaar jhuuT bolte hai.n
mire KHilaaf mire yaar jhuuT bolte hai.n
Imran Aami
Ghazal
zindagii dard kii tasviir na ban.ne paa.e
bolte rahiye zaraa ha.nste ha.nsaate rahiye
Hafeez Banarasi
Ghazal
sitam to ye hai ki mere KHilaaf bolte hai.n
vo log jin se kabhii mai.n ne baat bhii nahii.n kii
Nadeem Bhabha
Ghazal
but kah diyaa jo mai.n ne to ab bolte nahii.n
itnii sii baat kaa tumhe.n itnaa KHayaal hai
Jaleel Manikpuri
Ghazal
pahro.n chup rahte hai.n ham aur agar bolte hai.n
vahii phir phir ke ulaTtii hai.n tumhaarii baate.n
Imam Bakhsh Nasikh
Ghazal
favvaare kii tarah na ugal de har ek baat
kam kam vo bolte hai.n jo gahre hai.n peT ke
Shakeb Jalali
Ghazal
chup-chaap baiThe rahte hai.n kuchh bolte nahii.n
bachche biga.D ga.e hai.n bahut dekh-bhaal se
Adil Mansuri
Ghazal
use kisii ne kabhii bolte nahii.n dekhaa
jo shaKHs chup nahii.n rahtaa mirii himaayat me.n
Saleem Kausar
Ghazal
akele kamre me.n gul-daan bolte kab hai.n
tumhaare ho.nT hai.n shaayad gulaab me.n shaamil
Nida Fazli
Ghazal
ruuh suntii hai mohabbat me.n badan bolte hai.n
lafz pairaaya-e-iz.haar nahii.n hotaa yaar
Iftikhar Mughal
Ghazal
diivaane hai.n ham jhuuT bahut bolte hai.n
ham ko sar-e-baazaar ye izzat dii jaa.e
Saleem Kausar
Ghazal
vafaa ke shahr me.n ab log jhuuT bolte hai.n
tuu aa rahaa hai magar sach ko maantaa hai to aa