SEARCH RESULTS
Showing search results for "darkaar"
Ghazal MATCHES FOR "darkaar"
Ghazal
darkaar hai shaguftan-e-gul-haa-e-aish ko
sub.h-e-bahaar pumba-e-miinaa kahe.n jise
Mirza Ghalib
Ghazal
hame.n tho.Daa junuu.n darkaar hai tho.Daa sukuu.n bhii
hamaarii nasl me.n ik jiiniyaatii mas.ala hai
Umair Najmi
Ghazal
yahaa.n to KHud tirii hastii hai ishq ko darkaar
vo aur ho.nge jinhe.n muskuraa ke luuT liyaa
Jigar Moradabadi
Ghazal
Abbas Qamar
Ghazal
yaad-e-aashob kaa aalam to vo aalam hai ki ab
yaad masto.n ko tirii yaad bhii darkaar nahii.n
Jaun Eliya
Ghazal
Shaheen Abbas
Ghazal
is ishq me.n darkaar kahaanii hai zaruurii
tum zaKHm ataa kar do nishaanii hai zaruurii
Arpit Sharma Arpit
Ghazal
aur kuchh bhii mujhe darkaar nahii.n hai lekin
merii chaadar mire pairo.n ke baraabar kar de
Shahid Meer
Ghazal
ban jaataa hai kaise ko.ii saalaar munaafiq
ye baat samajhne ko hai darkaar munaafiq
Danish Aziz
Ghazal
darkaar ujaalaa hai magar sahme hu.e hai.n
kar de na a.ndheraa ko.ii baaruud jalaa kar
Qateel Shifai
Ghazal
raat aa baiThii hai pahluu me.n sitaaro taKHliya
ab hame.n darkaar hai KHalvat so yaaro taKHliya
Rehman Faris
Ghazal
zindagii jabr hai aur jabr ke aasaar nahii.n
haa.e is qaid ko zanjiir bhii darkaar nahii.n
Fani Badayuni
Ghazal
hijr ko hausla aur vasl ko fursat darkaar
ik mohabbat ke liye ek javaanii kam hai
Abbas Tabish
Ghazal
safiina rakhtaa huu.n darkaar ik samundar hai
havaa.e.n kahtii hai.n us paar ik samundar hai
Sarvat Husain
Ghazal
ra.ng darkaar the ham ko tirii KHaamoshii ke
ek aavaaz kii tasviir banaanii thii hame.n
Nazir Wahid
Ghazal
zinda rahne ke liye kuchh be-hisii darkaar thii
sochte rahne se bhii kuchh zaKHm gahre ho ga.e
Azhar Faragh
Ghazal
darkaar is liye hai mujhe duusraa badan
us kii dil-o-dimaaG se KHushbuu nikal sake