SEARCH RESULTS
Showing search results for "ehtiyaat"
Ghazal MATCHES FOR "ehtiyaat"
Ghazal
phir vaz'-e-ehtiyaat se rukne lagaa hai dam
barso.n hu.e hai.n chaak garebaa.n kiye hu.e
Mirza Ghalib
Ghazal
Jaun Eliya
Ghazal
unhe.n pata bhii chale aur vo KHafaa bhii na ho.n
is ehtiyaat se kyaa mudda.aa kii baat kare.n
Sahir Ludhianvi
Ghazal
ab ehtiyaat kii ko.ii suurat nahii.n rahii
qaatil se rasm-o-raah sivaa kar chuke hai.n ham
Faiz Ahmad Faiz
Ghazal
Dhale to hotii hai kuchh aur ehtiyaat kii umr
ki bahte bahte ye dariyaa uchhaal letaa hai
Waseem Barelvi
Ghazal
ab ehtiyaat kii diivaar kyaa uThaate ho
jo chor dil me.n chhupaa thaa vo kaam kar bhii gayaa
Ahmad Faraz
Ghazal
yahii hai maslahat-e-jabr-e-ehtiyaat to phir
ham apnaa haal kahe.nge chhupaa ke lahje me.n
Iftikhar Arif
Ghazal
ehtiyaat rakhne kii ko.ii had bhii hotii hai
bhed ham ne khole hai.n bhed ko chhupaane me.n
Alam Khursheed
Ghazal
charaaG-e-dil ko zaraa ehtiyaat se rakhnaa
ki aaj raat chalegii havaa udaasii kii
Rehman Faris
Ghazal
Jigar Moradabadi
Ghazal
Bashir Badr
Ghazal
jo dekhtii hai.n nigaahe.n vahii nahii.n sab kuchh
ye ehtiyaat bhii apne bayaan me.n rakhaa
Nida Fazli
Ghazal
ya.anii kuchh is tarah ki tujhe bhii KHabar na ho
is ehtiyaat se tujhe dekhaa karuu.ngaa mai.n
Ajmal Siraj
Ghazal
use kaho ki gurezaa.n na yuu.n rahe mujh se
mai.n ehtiyaat kii baarish me.n jal bhii saktaa huu.n
Aziz Nabeel
Ghazal
is ehtiyaat se aa.nkho.n me.n kaun aayaa thaa
subuut ke liye palko.n pe ik nishaa.n bhii nahii.n
Shakeel Azmi
Ghazal
ye ijtinaab hai aks-e-shu.uur-e-mahbuubii
ye ehtiyaat-e-sitam hii nahii.n kuchh aur bhii hai