SEARCH RESULTS
Showing search results for "fareb-e-vafaa"
Ghazal MATCHES FOR "fareb-e-vafaa"
Ghazal
na de fareb-e-vafaa le na imtihaa.n apnaa
hai be-niyaaz-e-karam yaar-e-bad-gumaa.n apnaa
Abdur Rasheed Khan Kaifi Mahkari
Ghazal
hai kis qadar halaak-e-fareb-e-vafaa-e-gul
bulbul ke kaarobaar pe hai.n KHanda-haa-e-gul
Mirza Ghalib
Ghazal
naakaam-e-aarzuu huu.n magar uf yaqiin-e-ishq
daanista phir fareb-e-vafaa khaa rahaa huu.n
Baldev Raaj
Ghazal
KHudaa kare ki fareb-e-vafaa rahe qaa.em
ki zindagii kaa ko.ii aur ab sahaaraa nahii.n
Gopal Mittal
Ghazal
ye bhii 'nazar' adaa-e-fareb-e-vafaa na ho
vo aaj aa rahe hai.n 'nazar' mehrbaa.n mujhe
Naseem Fatima Nazar lakhnavi
Ghazal
tuu ye samajh rahaa hai ki majbuur-e-ishq huu.n
kuchh soch kar fareb-e-vafaa khaa rahaa huu.n mai.n
Habeeb Ashar Dehlavi
Ghazal
said-e-karishma is liye hote nahii.n ki ham
pahle se zaKHm-KHurda fareb-e-vafaa ke hai.n
Ismail Merathi
Ghazal
ho nukta-sanjiyo.n se tirii shaad ai 'vafaa'
aisaa jahaa.n me.n ko.ii suKHan-daa.n kahaa.n rahaa
Wafa Lakhnavi
Ghazal
ai 'vafaa' thii jo tamanna mujhe paa-bosii kii
paa-e-qaatil pe giraa ho ke judaa sar meraa
Wafa Lakhnavi
Ghazal
mausam-e-girya guzar jaataa hai maqsuud-'vafaa'
merii diivaar pe baarish kii namii rahtii hai
Maqsood Wafa
Ghazal
ai 'vafaa' ranj-o-Gam-o-andoh-o-fariyaad-o-fuGaa.n
sab kiye paidaa KHudaa ne mere dam ke vaaste
Wafa Lakhnavi
Ghazal
khaa.e.n na kyo.n fareb-e-vafaa jaan-buujh kar
ham kyaa kare.n ki aaj pashemaa.n se aa.e hai.n
Sabir Naseerabadi
Ghazal
Wafa Lakhnavi
Ghazal
hu.aa hai surma-e-chashm-e-butaa.n pas-e-murdan
'vafaa' Gubaar bhii apnaa to raa.egaa.n na hu.aa
Wafa Lakhnavi
Ghazal
dil me.n butaan-e-dair ko kyo.n dii jagah 'vafaa'
kaa'ba thaa jis kaa naam use but-KHaana kar diyaa
Wafa Lakhnavi
Ghazal
tamaam umr ga.nvaa.ii gunaah karne me.n
KHudaa se KHaak 'vafaa' KHvaahish-e-jinaa.n kartaa
Wafa Lakhnavi
Ghazal
fikr-e-ma.aash ahl-e-mohabbat na kiijiye
khaane ko KHuun-e-dil hai fareb-e-vafaa ke ba.ad