SEARCH RESULTS
Showing search results for "gardish-e-paa"
Ghazal MATCHES FOR "gardish-e-paa"
Ghazal
hamaarii gardish-e-paa raasto.n ke kaam aa.ii
kahii.n pe sub.h hu.ii aur kahii.n pe shaam aa.ii
Zubair Rizvi
Ghazal
mai.n zamiino.n kii lakiiro.n me.n ulajhtaa kaise
aasmaano.n se mirii gardish-e-paa lagtii hai
Moid Rasheedi
Ghazal
zanjiir se uThtii hai sadaa sahmii hu.ii sii
jaarii hai abhii gardish-e-paa sahmii hu.ii sii
Arsh Siddiqui
Ghazal
gardish-e-paa hai ki ba.Dhne nahii.n detii aage
teraa 'haamid' tirii galiyo.n kaa gadaa lagtaa hai
Hamid Allahabadi
Ghazal
in aablo.n kii raushnii bhaTkegii shahr me.n
ai kuucha-gard gardish-e-paa ko sameT le
Khalid Sharif
Ghazal
gardish-e-paa kisii manzil pe Thahartii hii nahii.n
dil magar ba.Dhtaa nahii.n kuu-e-butaa.n se aage
Alam Khursheed
Ghazal
mirii to gardish-e-paa hai azal se qismat me.n
zamii.n bhii ghuumtii hai daur-e-aasmaa.n kii tarah
Prem Rangpuri
Ghazal
is marhala-e-shab me.n ab ek hii suurat hai
yaa dasht-e-talab paaTe.n yaa gardish-e-paa kaaTe.n
Iqbal Kausar
Ghazal
dar-ba-dar ho ke bhii haTtaa nahii.n raste se faqiir
mo.ajize kartii hai vo gardish-e-paa mere saath
Saeed Khan
Ghazal
mile.nge raah me.n tujh ko charaaG jalte hu.e
kahii.n kahii.n hai miraa naqsh-e-paa bahut gahraa
Faza Ibn e Faizi
Ghazal
'shaan' be-samt na kar de tumhe.n sahraa-e-hayaat
zehn me.n un ke nuquush-e-kaf-e-paa rahne do
Syeda Shan-e-Meraj
Ghazal
ek manzar par nazar Thahre to Thahre kis tarah
ham mizaaj-e-gardish-e-ayyaam le kar aa.e hai.n
Syeda Shan-e-Meraj
Ghazal
vo silsile bhii kitne dil-aavez the ki jo
zanjiir-e-paa se gesuu-e-KHamdaar tak ga.e
Syeda Shan-e-Meraj
Ghazal
kabhii to koh-e-giraa.n tak nazar nahii.n aa.e
kabhii havaa kaa mujhe naqsh-e-paa dikhaa.ii de
Badr-e-Alam Khan Azmi
Ghazal
jin pe baarish-e-gul hai un kaa haal kyaa hogaa
zaKHm khaane vaale bhii baaG baaG hai.n yaaro
Faza Ibn e Faizi
Ghazal
sab apne apne ufuq par chamak ke tho.Dii der
mujhe to daaman-e-shaam-o-sahar kii gard hu.e