SEARCH RESULTS
Showing search results for "gasht"
Ghazal MATCHES FOR "gasht"
Ghazal
shahr kii gasht me.n hai.n sub.h se saare mansuur
ab to mansuur vahii hai jo sar-e-daar nahii.n
Jaun Eliya
Ghazal
Mehshar Afridi
Ghazal
tamaam raat havaa.o.n kaa gasht jaarii thaa
savere tak na rahaa ko.ii huu-ba-huu baaqii
Aabid Adeeb
Ghazal
mastaana tai karuu.n huu.n rah-e-vaadi-e-KHayaal
taa baaz-gasht se na rahe mudda.aa mujhe
Mirza Ghalib
Ghazal
hamrah-e-Gair mubaarak unhe.n gul-gasht-e-chaman
sair ham ko bhii mayassar hai bayaabaano.n kii
Hasrat Mohani
Ghazal
naaz detaa nahii.n gar ruKHsat-e-gul-gasht-e-chaman
ai chaman-zaar-e-hayaa dil ke gulistaan me.n aa
Wali Dakni
Ghazal
yaa.n bulbul aur gul pe to ibrat se aa.nkh khol
gul-gasht sarsarii nahii.n us gulistaan kaa
Meer Taqi Meer
Ghazal
Arzoo Lakhnavi
Ghazal
ye kaun utraa pa.e-gasht apnii masnad se
aur intizaam-e-makaan o siraa badalne lagaa
Sarvat Husain
Ghazal
hogii jab naalo.n kii apne zer garduu.n baaz-gasht
mere dard-e-dil kii shohrat jaa-ba-jaa ho jaa.egii
Hakim Mohammad Ajmal Khan Shaida
Ghazal
sub.h ke saath hu.ii KHatm merii raat kii gasht
rah ga.ii ek galii shahr ke kone vaalii
Javed Shaheen
Ghazal
lamho.n kii baaz-gasht me.n sadiyo.n kii guu.nj thii
aur aagahii kaa mujrim-e-iz.haar mai.n hii thaa
Kabir Ajmal
Ghazal
taaq me.n kab tak jalegaa ye charaaG-e-intizaar
is taraf shab-e-gasht logo.n kii sadaa kab aa.egii
Irfan Siddiqi
Ghazal
pa.e gul-gasht vo gul-posh jo aa.e 'gulzaar'
zindagii sabze ke maanind bichhaa dete hai.n
Gulzar Dehlvi
Ghazal
ye baaz-gasht merii sadaa kii hai yaa mujhe
aavaaz de rahaa hai KHudaa Gaur se suno
Himayat Ali Shayar
Ghazal
pa.e-gul-gasht sunaa hai ki vo aaj aate hai.n
phuulo.n kii bhii ye KHushii hai ki khile jaate hai.n