SEARCH RESULTS
Showing search results for "guzaarnaa"
Ghazal MATCHES FOR "guzaarnaa"
Ghazal
ishrat-e-qatra hai dariyaa me.n fanaa ho jaanaa
dard kaa had se guzarnaa hai davaa ho jaanaa
Mirza Ghalib
Ghazal
vo tirii galii ke tevar, vo nazar nazar pe pahre
vo miraa kisii bahaane tujhe dekhte guzarnaa
Peer Syed Naseeruddin Naseer Gilani
Ghazal
nazar niichii kiye us kaa guzarnaa paas se mere
zaraa sii der ruknaa phir sabaa-raftaar ho jaanaa
Munawwar Rana
Ghazal
kisii daraKHt kii hiddat me.n din guzaarnaa hai
kisii charaag kii chhaa.nv me.n raat karnii hai
Tahzeeb Hafi
Ghazal
havaa daraKHto.n se kahtii hai dukh ke lahje me.n
abhii mujhe ka.ii sahraa.o.n se guzarnaa hai
Asad Badayuni
Ghazal
jo apne aap guzartaa hai kuucha-e-dil se
mujhe gumaa.n thaa mire mashvare se guzregaa
Zafar Iqbal
Ghazal
KHud apne dil me.n KHaraashe.n utaarnaa ho.ngii
abhii to jaag ke raate.n guzaarnaa ho.ngii
Mohsin Naqvi
Ghazal
Amjad Islam Amjad
Ghazal
daava-e-ishq-o-vafaa par mujh ko marnaa aa gayaa
kah guzarne kii jagah ab kar guzarnaa aa gayaa
Nooh Narvi
Ghazal
kuchh lutf-e-zindagii nahii.n haasil tire baGair
pal bhar guzaarnaa bhii hai mushkil tire baGair
Nadir Shahjahanpuri
Ghazal
vaqt nadiyo.n ko uchhaale ki u.Daa.e parbat
umr kaa kaam guzarnaa hai guzar jaa.egii
Nida Fazli
Ghazal
ik aadmii se tark-e-maraasim ke baa'd ab
kyaa us galii se ko.ii guzarnaa bhii chho.D de
Jamal Ehsani
Ghazal
Abbas Tabish
Ghazal
is baar raah-e-ishq kuchh itnii taviil thii
us ke badan se ho ke guzarnaa pa.Daa mujhe
Ameer Imam
Ghazal
tum is raste me.n kyuu.n baaruud bo.e jaa rahe ho
kisii din is taraf se KHud guzarnaa pa.D gayaa to
Asim Wasti
Ghazal
naakaamii-e-hayaat kaa karte bhii kyaa gila
do din guzaarnaa the guzaare chale ga.e